1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela...

123
1 | Page

Transcript of 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela...

Page 1: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

1 | P a g e

Page 2: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

2 | P a g e

SHAN E MUSTAFA ملسو هيلع هللا ىلص

Translated by :

Mohammed Amaan Raza

( Gulame Taajush Shariah )

+91-8149723122

Is kitaab ko muqammal tayyar karne me In

dono ki khaas khidmat rahi...

Abde Mustafa Abrar Khan Razvi

+96555968628

+919886596449

Abde Mustafa Muhammed Uwais Khan

Chishti

+91 9794578896

Minjanib

JAMAT RAZA-E -MUSTAFA ملسو هيلع هللا ىلص

BRANCH : NANDED

Page 3: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

3 | P a g e

SHAN E MUSTAFA ملسو هيلع هللا ىلص

(COMPLETE 100 HADEESON KE COLLECTION KE SATH)

CHAPTERS :

1. IKHTIYARE MUSTAFA ملسو هيلع هللا ىلص PAR 20 HADEES

2. HUZOOR ملسو هيلع هللا ىلص JAISA KOI NAHI PAR 15 HADEES

3. HUZOOR ملسو هيلع هللا ىلص WISAAL KE BAAD BHI ZINDA PAR 15

HADEES

4. ILM E GAIB E MUSTAFA ملسو هيلع هللا ىلص PAR 25 HADEES

5. ALLAH T’ALA KI BARGAH ME USKE MEHBOOB

BANDON KA WASEELA BANANA PAR 6 HADEES

6. SHAFA’ATE AMBIYA WA AWLIYA WA OLMA PAR

6 HADEES

7. ISHQ E RASOOL WA TAZEME NABI ملسو هيلع هللا ىلص PAR 8

HADEES

8. BAD MAZHAB AUR GUMRAH FIRQON KI

PEHCHAN PAR 5 HADEES.

SAARI HADEESEIN SIYAH SITTAH KE

HAWALON KE SAATH HAIN JISKO HAR

MAQTABA E FIQR KE LOG MAANTE HAIN

Page 4: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

4 | P a g e

IKHTIYARATE MUSTAFA ملسو هيلع هللا ىلص

Page 5: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

5 | P a g e

IKHTIYARATE MUSTAFA ملسو هيلع هللا ىلص

✔Hadees No. 1

" Aqba Ibne Aamir se marawi hai ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

ne irshad farmaya ki main Apne Houz ko is waqt

Dekh raha hu, aur Mujh ko tamam Roo e Zameen

ke Khazano ki Kunjiya Di Gai Hai "

✏ Sahih Bukhari ji. 1 Safa 179

✏Sahih Muslim JI. 2 safa 250

↪Is Hadees Shareef me Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Houze

Kouser ko Apna Houz Farmaya goya aap iske

Malik hai aur saari Roo e Zameen ke khazano ki

kunjiya Khuda e Ta'ala ne aap ko ata farmayi hai

yaani Aap dono jahan me Malik wa Mukhtar hai .

Dono Aalam ke Khazane Kar Diye Haq Ne

Ataa

Do jahan ke Maaliko Mukhtar Par Lakhon

Salaam

Page 6: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

6 | P a g e

✔Hadees No. 2

" Hazrat Ameere Muaaviya رضي هللا عنه Ne Logo ko

khitab karte hue farmaya ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko

maine ye farmate hue suna hai ki Allah Ta'ala Jis

se bhalai ka irada farmata hai usko deen me

samajh Ataa farmata bai aur Beshaq Main Bantne

Wala hu aur Allah Ta'ala Dene wala"

✏ Sahih Bukhari jild 1 Safa 16

↪ Is Hadees shareef ko padh kar khub Roshan ho

gaya ki jo kuch jis ko Allah Ta'ala Ataa Farmata

hai wo Sab Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Taqseem farmate hai aur

wo aap ki chokhat se milta hai.

👉Jo log Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki shaan ghatate, unhone is

Hadees me ye baat paida ki hai ki choonki Ye

Hadees Ilm ke bayan me hai isse Maloom hota hai

ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص sirf Ilm Bantte hai aur Kuch Nahi.

To Aise logo se ye Maloom kiya jaye ki kya Woh

ye kahne ki Zurrat karenge ki Khuda E Ta'ala bhi

Mazz'Allah Sirf Ilm Ata Farmane Par Qudrat

Rakhta hai aur kisi par nahi. Kyunki is Hadees me

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Ko Bantne Wala aur Allah Ta'ala ko

ataa farmane wala kaha gaya hai to agar Huzoor

Page 7: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

7 | P a g e

ko bantne me sirf Ilm Par ikhtiyar hai to Allah ملسو هيلع هللا ىلص

Ta'ala.ko bhi Maaz'Allah Sirf Ilm dene Wala

Kahna padega .

MAAZ'ALLAHI RABBUL AALAMEEN

✔Hadees Shareef ke mana yahi hai ki jo kuch jis

kisi ko Allah Ta'ala ataa farmata hai is sab ke

taqseem karne wale ملسو هيلع هللا ىلص hai aur aap Ata-E-Ilahi

ka waseela hai .

↪Bukhari shareef hi me dusri jagah isi mafhoom

wali ek hadees is tarah marwi hai Rasoolullah

, ne irshad farmaya ملسو هيلع هللا ىلص

"Main bantne wala hu , Khazanchi Hu aur Allah

ta'ala Ataa Farmane Wala hai "

✏ Bukhari Jild 1 safa 439

Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila

Bat-ti Hai Qaunain me Ne'amat Rasoolullah

ki ملسو هيلع هللا ىلص

Page 8: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

8 | P a g e

✔ Hadees No. 3

Hazrate Abu Moosa Ash'ari رضي هللا عنه se Riwayat

hai ki Abu Talib Maldaar Quraish ke Humraah

mulqe Shaam ki taraf chale Nabi-E-Kareem ملسو هيلع هللا ىلص

bhi Aap ke sath the . Jab raahib ke paas Pahoche

to Abu Talib Utare aur logo ne bhi Apne Kajawe

Khol Diye . Rahib unki taraf Aaya aur Halanki Isse

pahle wo log is Raste Se guzarte the lekin wo

Inke Paas Nahi aata tha aur Na Inki taraf

Mutawajjeh Hota tha .Rawi kahte hai ki log Abhi

kajawe Khol hi rahe the ki Inke Darmiyan chalne

Laga yahan tak ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ke kareeb

aaya aur Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka daste Mubarak Pakad

kar kahne laga ki Ye Saari Kaynaat ke Sardar hai .

Ye Rabbul Aalameen ke Rasool Hai Inko Khuda-E-

Ta'ala ne saari Makhlooq ke liye Rahmat banaya

hai. Rausaa e Quraish ne pucha Tumne ye Baate

kaise jaani woh bola Jab tum Is Ghaati se Samne

Aa Rahe The to Maine Dekha Ki Har Ped Aur

Patthar Inko Sajdah Kar Raha tha .

(▶Kajawe = oont ke pith pe lakdi ke aisa bana

huwa hissa hota hai jis pe sawar aasani se baith

jaye use kajawa kahte hain )

Page 9: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

9 | P a g e

✏ Tirmizi Jild 2 Safa 202

✏ Mishqaat Safa 540.

Suraj Ulte Panv Palte Chand Ishare Se Ho

chaak

Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah

Kiملسو هيلع هللا ىلص

Page 10: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

10 | P a g e

✔ Hadees No. 4

" Hazrate Ali رضي هللا عنه Se Marwi hai ki Main

Makke Me Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke humraah tha to Hum

aiteraf Shahar ki taraf Nikle to Maine Dekha ki jo

darakht aur pahad Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke saamne aata

hai wo kahta

ملسو هيلع هللا ىلصهللا يارسول عليك الصــلوة والسالم

( Assalatu Wassalamu Alaika Ya Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

, Aye Allah Ke Rasool Aap par Salaam ho )

✏ Tirmizi Jild 2 Safa 203

↪Is Hadees Se Maloom hua ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

Saari kaynat ke Sardar wa maliko mukhtar hai

yahan Tak ki bejaan makhlooq Patthar aur ped

wagairah Aap ko Mante pahchante aur salaam

karte hai Kyun ki Sab Par Aap ki Baadshahat hai ..

Sarwar Kahu ke Maliko Moula Kahu Tujhe

Baage Khaleel ka Gule Zeba Kahu Tujhe

Page 11: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

11 | P a g e

✔ Hadees No. 5

" Hazrate Abu Huraira رضي هللا عنه Farmate Hai ki

Maine Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki khidmat me Arz kiya ki

main Aap se Bahot Saari Hadeese Sunta hu lekin

Bhool jata hu Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya Apni Chadar

Failao .. Maine Apni Chadar Bicha di .Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne

dono hatho se Lap Bana Kar Chadar me kuch

Daal diya Aur Farmaya is ko lapet lo. Maine

Chadar ko lapet liya aur iske baad Main kabhi Koi

baat nahi bhoola "

✏ Bukhari Jild 1 Safa 22

Is Hadees Ko Dekhiye Kaise Roohani Ikhtiyarat

hai . Aur Kaisi Khudada Qudrat(khuda ki janib se

atayi qudrat) hai. Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص khali chadar me ba

zahir khali lap daalte hai aur kaisi be-misaal yaad-

dasht ataa kar Farmate hai Aur Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki

ataa wa bakhshish ka nateeja hai ki Hazrate Abu

Huraira هرضي هللا عن se jitni Ahadees Riwayat ki Gai

Hai wo aur kisi Sahabi se nahi.

Page 12: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

12 | P a g e

✔Hadees No. 6

Hazrate Abu Huraira رضي هللا عنه se Marwi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne Irshad Farmaya Ki Main

Qayamat ke din saare Insano ka Sardar Rahunga.

✏ Bukhari Safa 470

✏ Muslim Jild 1 Safa 111

Is Hadees Shareef Se maloom hua ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

ki Hukumat wa Badshahat wa Sardari aur

Saltanat sirf duniya me hi nahi Balki Qayamat ke

din bhi Aap Hi ka sikka Chalega Isiliye Aap ko

Sarkare Do Aalam Aur Sarware Kounain kaha jata

hai .

Mere Raza Ne Khatme Sukhan Ispe Kar diya

Khaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahu Tujhe

Page 13: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

13 | P a g e

✔Hadees No. 7

"Hazrat e Anas رضي هللا عنه Se Marwi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya Baroze

Qayamat sab se pehle Main Niklunga jab Log

wafd(chota ka qafla) banege to Main Aage

rahunga. Jab Log Khamosh honge to Main hi

khitaab karunga . Jab log roke jayenge to Main hi

Shafa'at Karunga . Jab log Mayoos honge to Main

unhe khushkhabari Sunaunga. Izzat dena mere

Ikhtiyar me hoga aur khair ki Saari kunjiya mere

hath me hongi .

📕Mishkat Safa 514

➡ Is Hadees me Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka ye farmana ki

Izzat wa karamat ki Saari kunjiya mere hath me

hongi ye bata raha hai ki Baroze Qayamat

Mukhtare kul honge aur Aap ko Saare Ikhtiyarat

Hasil honge kyun ki Kunjiya Mukhtaar ke paas

hoti hai majbur ke paas nahi .

Page 14: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

14 | P a g e

✔Hadees No. 8

Hazrate Abdullah Ibne Ateeq farmate رضي هللا عنه

hai ki fir maine Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص se ( Abu Raafe

Yahudi ko Qatl Karne aur pair Tutne ka kissa

bayan kiya ) to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad Farmaya

apna toota hua pair bichao to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne is

par Hath fera to wo jaisa pahle tha bilkul waisa hi

ho gaya jaise usme kabhi kuch kami aayi hi na thi

📗 Bukhari Jild 2 Safa 577

📘Miskat safa 532

Jahan Baani Ataa Kar De Bhari Jannat Hiba

Kar De

Nabi Mukhtare kul Hai Jisko Jo Chahe Ata Kar

De

Page 15: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

15 | P a g e

✔Hadees No. 9

▶Hazrate Jaabir رضي هللا عنه Farmate hai ki mere

walid fout ho gaye aur Unke upar qarz tha to

main ne Nabi-e-Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ki Khidmat me Hazir

hokar Arz ki mere Walid ne qarza choda hai aur

mere paas dene ke liye Siwa Khujuron ke

darakhton ke kuch nahi hai Aur inki paidawaar

se kayi saal me qarz pura na hoga. Aap mere sath

tashreef le chale take qarz khwah sakhti wa bad

goi se pesh na aaye. Fir Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Khujuron ke

dher ke ird gird phire aur Dua ki aur Dusre dher

ke ird gird phire phir aap Ek dher par baith gaye

aur farmaya qarz khwahon ko naap kar dete jao

Yahan tak ki sab qarz khwahon ka sara qarz ada

ho gaya aur utni hi khujure bach bhi gai .

📕 Bukhari sharif safa 506,580,322

Page 16: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

16 | P a g e

✔Hadees No. 10

▶Hazrat Abu Hurairah رضي هللا عنه Farmate hain

Ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki main

Baroze Qayamat sab Insano ka Sardar Rahunga

aur sabse awwal Qabre Anwar se Bahar tashreef

launga aur sab se pehle Shafa'at farmane wala

aur Pehla Shafa'at qubool kiya hua main hi hu

📗Tirmiji Jild 2 abwabul manakib safa 202

📘Ibne maaja Baab Zikrush-shafa'at Safa 329

➡Is Hadees Ki Sharah me Imame Azal Nauwi

Farmate hai Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Duniya wa Aakhirat

dono jahan me Saare Insano ke sardar hai Lekin

Hadees me sirf Qayamat ka zikr isliye hai ki

Qayamat ke din Aap ki Sardari wa Badshahat sab

par zaahir farma di jayegi aur koi Inkari na

rahega...

Faqat Itna Sabab Hai Bazme In''eqad E

Mehshar Ka

Ke Unki Shaane Mahboobi Dikhayi Jaane

Waali Hai

Page 17: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

17 | P a g e

✔Hadees No. 11

"Hazrat e Anas رضي هللا عنه Se Marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Sayyeda Zainab se Nikah ke

Nausha the to meri Walida Umme Sulaim ne

Khajoor , Ghee aur Paneer ka Halwa banaya aur

Ek Bartan me Kar ke Mujhse kaha ki Anas isko

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki khidmat me le jao aur Arz karo Yaa

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ye meri maa ne aap ki khidmat

me thoda sa Hadiya bheja hai aur Unhone Aap

ko Salam arz kiya hai chunanche main gaya aur

maine ye arz ki . Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad Farmaya

ise Rakh do aur jao . Hamare paas fala(n) fala(n)

ko Bula lao, JIska Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne naam liya aur

unhe bhi jo tumko mile yahan tak ki jab main

wapas lauta to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka ghar bhar chuka

tha. Hazrat e Anas رضي هللا عنه sa pucha gaya ki

kitni taadad thi to unhone farmaya takreeban

300 log the . Fir maine Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko dekha Aap

ne Halwe par Dast E Paak Rakh kar kuch padha jo

Allah Ta'ala Ne chaha , Fir Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Das-Das

ko bulane lage wo isme se khane lage. Huzoor

Inse farmate the Allah Ta'ala ka naam lo aur ملسو هيلع هللا ىلص

har shaksh apne samne se khaye. Jab sab ne kha

Page 18: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

18 | P a g e

liya to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne mujhse farmaya Aye Anas

isko uthao . Jab maine dekha to Mujhko maloom

nahi ki jab Rakha tha tab Zyada tha ya jab uthaya

tab zyada tha..

📘 Bukhari Jild 2 Kitabun Nikah

📕Mishkat Baab fil Mo'jezaat Safa 538

📙Muslim Jild 1 Safa 461

➡ Is Hadees Shareef me Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Halwe

ko Samne Rakh kar Kuch padha aur zaahir si baat

hai Allah Ta'ala ki Hamd'o Sana hi Padhi hogi.

Aur Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Wale Bhi To

Khana Samne Rakhkar ALLAH PAAK Ka kalam

Padhte Hain, Fir Ye Wahabi Ahl E Khabees Bad

Aqeeda Kyu Humpe Bid'at Aur Shirk Ka Fatwa

Lagate Hain ???

➡ Aur Is Hadith Se Ye Bhi Pata Chalta Hai Ki

Khane Par kalaam, Yani Fatiha Padhne Se Usme

Barkat Ho Jati Hai

Page 19: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

19 | P a g e

Khaate Hai Sunni Halwa Sarkaar Ke Karam Se

Dekho to Najdiyo(n) ko Kawwo pe Pyaar

Aaye..

✔Hadees No. 12

Hazrate Ubai Ibne Ka'ab رضي هللا عنه Farmate hai Fir

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne jab mere dil me Paida hone wale

waswase Jaan liye to mere Seene par Daste

Aqdas maara jis se main paseena paseena ho

gaya aur haalat ye thi goya ko Main Khuda E

Ta'ala ko dekh raha hu fir wo kaifiyat jaeel ho gai

.

📘 Muslim Jild 1 Safa 273

➡ Kya Shaane Ikhtiyar hai Hazrate Ubai Ibne

Ka'ab رضي هللا عنه ke dil me Quraane Kareem ki

chand qiraat ke mut'alliq waswasa paida ho gaya

tha. Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Dil ke is waswase ko fauran

jaan liya aur apni Khudadaad Qudrat se seene

par Daste Aqdas maar kar Jalwa e Ilahi Dikha

Diya aur Shuquq wa waswase ki daldal se nikal

Page 20: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

20 | P a g e

kar Imaan se Dil bhar Diya aur wo kaifiyat Jaeel

farma di .

✔Hadees No. 13

Hazrate Sayeedna Ayesha Siddiqua رضي هللا عنها se

marvi hai ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne Irshad Farmaya--

Aye Ayesha Agar main chahu to mere Sath sone

ke pahaad chala kare.

📕 Mishkat Safa 521

✔Hadees No. 14

Hazrat e Anas رضي هللا عنه Se Marwi hai ki Hazrate

Jibrail عليہ السالم Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki Khidmat me Hazir

hue aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص gamgeen the Ahle Makkah ki

izaa rasaani ki wajah se Aap ka jism lahu luhaan

tha. Hazrate Jibrail عليہ السالم ne kaha Ya

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص kya Aap chahte hai ki Aap ko ek

Nishani Dikhau ? Farmaya. Haan unhone Aap

ke piche ek ped ki taraf dekha aur Arz kiya is ملسو هيلع هللا ىلص

Page 21: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

21 | P a g e

ko bulaiye . Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Bulaya wo ped aaya

aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki Khidmat me khada ho gaya. Arz

Kiya is Ko huqm dijiye ki laut jaye Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne

Huqm diya wo Laut gaya . Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne

Farmaya mujhe kaafi hai.

📘 Mishkat Baabul Mojezaat Safa 541

➡ Yaani Hazrat Jibrail عليہ السالم ne Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko

tawajjoh dilayi ki aap malool khatir na ho Aap

ko Allah Ta'ala ne Qaynaate Aalam me ملسو هيلع هللا ىلص

mutasarrif wa mukhtar banaya hai. Darakht bhi

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke ishare par chalte hai .

Jahan Me Unki Chalti Hai Wo Dam Me Kya Se

Kya Kar De

Zamee(n) Ko Aasmaa(n) Kar De Surayya ko

Saraa Kar De

Page 22: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

22 | P a g e

✔Hadees No. 15

Hazrat Abu Hurairah رضي هللا عنه se marvi hai Ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki main so

raha tha ki Zameen ke khazano ki kunjiya meri

Khidmat me pesh ki gai aur mere hath me de di

gai.

📕Muslim Kitabul Masajid. Jild 1 Safa 199

✔Hadees No. 16

Hazrate Anas رضي هللا عنه Farmate hai ki Huzoor

ki ملسو هيلع هللا ىلص Makame Joura'a me the ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص

khidmat me ek Bartan me paani laya gaya to Aap

ne Apna Hath Bartan me Daal diya to Aap ملسو هيلع هللا ىلص

ki Ungliyo ke Darmiyan se Paani foot pada ملسو هيلع هللا ىلص

yahan tak ki puri qaum ne is se wuzu kar liye .

Hazrate Anas رضي هللا عنه se katada ne pucha ki

Aap kitne log the To unhone farmaya 300 ya 300

ke kareeb .

📘 Bukhari Jild 1 Safa 504

📙 Muslim Jild 2 safa 245

Page 23: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

23 | P a g e

Yaa Rab Sa'at Me Dhul Jaaye Siyaah kaaro Ke

Jurm

Josh Par Aa Jaye Ab Rahemat Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

Ki

✔Hadees No. 17

Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي هللا عنه se marvi

hai ki Hum Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke sath ek safar me the ki

ek dehaati saamne aaya..to Jab wo kareeb hua to

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki kya Tu gawahi

deta hai ki Allah Ta'ala ke alawa koi maabud nahi

wo tanha hai uska koi shareeq nahi aur

Muhammed ملسو هيلع هللا ىلص uske bande wa Rasool hai . wo

bola Aap jo keh rahe hai iski gawahi kaun deta

hai ? Farmaya wo kaantedaar darakht...aur us

darakht ko Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne bulaya wo jungle ke

kinare par tha. Zameen chirta hua khidmat me

haazir ho gaya . Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne is darakht se 3

baar gawahi li. isne teeno baar gawahi di aur fir

apni jhaadi ki taraf laut gaya .

📙 Mishkaat babaul moujazaat safa 541

Page 24: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

24 | P a g e

✔ Hadees No. 18

Makke walo ne Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص se kaha Aap koi

mojeza dikhaye to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne inhe chand ke

do tukde kar ke dikhaye yahan tak ki unhone

Hira pahad ko chand ke do tukdo ke darmiyan

dekha.

📕 Bukhari Jild 1 Safa 546

➡ Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne

apne mehboob ko aasmani duniya par tasarruf

farmane ka ikhtiyar diya hai . Chand ke tukde

karne se zaahir hai ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke ikhtiyarat aur

Khudadaad qudrat tasarrufat ka andaza lagana

mushkil hai aur waqayi Aap mukhtare kul hai.

Chaand Ke Tukde Kiye Pedo(n) Ne Sajde Kiye

Suraj Palat Aa Gaya Ye Mojaze Aap Ke

Saari Duniya Par Aaqa ملسو هيلع هللا ىلص Qabza Tumhara

Page 25: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

25 | P a g e

✔Hadees No. 19

Hazrate Jaabir Farmate hai ki Hudaibiya ke Roz

log pyaas se dochar hue aur Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ke

paas ek bartan tha jisse wuzu farma rahe the. Jab

log Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki khidmat me haazir hue to Aap

ne pucha kya maamla hai ? Logo ne arz ki ملسو هيلع هللا ىلص

Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص hamare paas wuzu karne

aur pine ke liye Paani nahi hai . bas yahi tha jo

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki khidmat me pesh kar diya gaya .

Raawi ka bayaan hai ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne bartan me

Apna Dast e Mubarak daal diye to Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki

Ungliyon se Chashme ki tarah Paani fut nikla to

humne piya aur wuzu kiya. Raawi kehta hai

maine Hazrate Jaabir se pucha ki tum Log kitne

the to unhone farmaya agar 100 Hazaar bhi hote

to wo paani kaafi ho jata lekin hum 1500 the.

📕 Bukhari Jild 2 Safa 598

Ungliya(n) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase

Jhoom Kar

Nadiya(n) Panjab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah

Wah

Page 26: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

26 | P a g e

✔Hadees No. 20

Hazrate Bara'a Farmate hai ki mere ek Mamu

jinka naam Abu Darda tha unhone Eid ki Namaz

se pehle Qurbani kar di to Unse Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

ne Irshad farmaya Tumhari wo Qurbani to gosht

ho gai. ( Yaani Qurbani ka sawab nahi milega ) to

unhone ne Arz kiya Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص mere

paas ek palaa hua 6 Maah ka bakri ka baccha hai

uski Qurbani kar du ? Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad

farmaya iski Qurbani kar do . Lekin ye Ijazat sirf

Tumhare liye hai . Tumhare Alawa kisi aur ke liye

6 Maah ka Bakri ka baccha kaafi nahi hai .

📕 Bukhari Jild 2 Safa 833

➡ Yani Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne apne Khudadad Ikhtiyarat

se janab Abu Darda ke liye sirf 6 maah ke bakri ke

bache ki Qurbani jayaz farma di. Lehaza Manna

padega ki Beshaq Allah Ta'ala ne Apne Rasool

ko Mukhtar bana kar bheja hai majboor nahi ملسو هيلع هللا ىلص

.

▶ Isse Ye bhi pata chalta hai ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

sirf Kanoon Janne wale nahi Balqi Kanoon

Banane wale bhi hai ...

Page 27: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

27 | P a g e

Bakhuda Khuda ka yahi hai dar nahi aur koi

Mafar Maqar

Jo wahaan se ho yahin aake ho jo yahan nahi

to wahan nahi

Page 28: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

28 | P a g e

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Jaisa Koi Nahi

Page 29: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

29 | P a g e

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Jaisa Koi Nahi

✔ Hadees No.1

Hazrate Abu Hurairah رضي هللا عنه Se Marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne baghair kuch khaye piye

Roze Se Roze Milakar Rakhne se mana farmaya to

ek Sahab ne Arz ki Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Aap to Is

tarah Roze Rakhte hai to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad

farmaya Tum Me Mere Jaisa Koun Hai ?? Main to

Is haal me Guzarta hu ki Mera Rab Mujhe khilata

hai , Pilata hai

📕 Bukhari Jild 1 Safa 263

📙 Muslim Jild 1 Safa 351

📗Mishkaat Safa 175

➡ Ye Hadees Kuch Alfaaz Ki Tabdeeli ke Sath

Bukhari Aur Muslim Me Hazrate Ayesha Siddiqua

, Hazrate Abdullah Ibne Umar , Hazrate Anas Bin

Malik Aur Hazrate Abu Hurairah رضي هللا عنهم In

saare Hazraat se marvi hai

Hazrate Anas رضي هللا عنه Ka bayan hai ki

Page 30: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

30 | P a g e

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Farmaya ki main tum me se kisi

ki tarah nahi hu

Hazrate Ayesha رضي هللا عنها Se marvi hadees me

hai

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Irshad Farmaya meri shaan

tumhari jaisi nahi hai

Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي هللا عنه ki

riwayat me hai

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya Main Tumhare Jaisa

nahi hu

Aur Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah

ne Farmaya Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahi

Apni Har Khoobi Me Tanha Aap hai

Page 31: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

31 | P a g e

✔ Hadees No.2

Hazrate Ali رضي هللا عنه se marvi hai ki maine

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ke jaisa na pahle dekha na Aap

ke Baad

📓 Tirmizi jild 2 safa 205

📙 Mishkaat safa 517

✔ Hadees No. 3

Hazrate Jaabir رضي هللا عنه se marvi hai ki Masjide

Nabawi ki chhat jab Khuzoor ki shaakho se daali

hui thi to Khutba Dete waqt Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص khuzoor

ke Ek Sutoon se tek lagaya karte the Jab Aap ملسو هيلع هللا ىلص

ke liye Mimbar banaya gaya to Aap ملسو هيلع هللا ىلص us Par

Jalwa Afroz hue to Maine suna ke is khuzoor ke

sutoon se ( Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki judaai me) Oontni ke

bilbilane ki Jaisi Aawaz aa rahi hai Yahan Tak ke

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne uske kareeb Jakar us par apna

Daste mubarak fera to wo khamosh ho gaya.

📕 Bukhari Jild 1 Safa 504

Page 32: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

32 | P a g e

✔Hadees No. 4

Hazrate Ayesha رضي هللا عنها

Farmati hai Maine Arz Kiya Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

Aap witr ki Namaz Bagair padhe so jate hai to

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Irshad Farmaya Aye Ayesha Meri

Aankh soti hai Mera Dil Nahi Sota.

📕 Bukhari Jild 1 Safa 504

Mustafa E Zaate Yakta Aap Hai

Yak ne Jisko Yak Banaya Aap Hai

✔ Hadees No. 5

Hazrate Ka'ab Jung me Shirkat se Apne rah jaane

ka kissa bayaan karte huye farmate hai ki Jab

Maine Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko Salaam kiya aur Aap Ka

chehra khushi se damak Raha tha Aur

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص khush hote to Aap ملسو هيلع هللا ىلص ka

chehra damakne lagta jaise ke wo chaand ka

tukda hai aur isse Hum Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki khushi ko

jaaan jate.

Page 33: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

33 | P a g e

📕 Bukhari Jild 1 safa 502

✔ Hadees No. 6

Hazrate Bara Ibne Aajib se Pucha gaya kya

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ka chehra Talwaar ki maanind

chamakta tha unhone Farmaya Nahi Balqi chand

ki tarah

📕 Bukhari Jild 1 Safa 502

➡ Aur Sahaba E Kiraam ka ye chaand se

tashbeeh dena bhi sirf isliye tha ke Insaano ki

nazar me chaand sabse zyada chamakdar hai

warna Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص to chaand se kahi zyada

khoobsurat aur Haseen hai is baare me bhi

Hadees me Hai. Aur ye bhi kaha ja sakta chaand

ki Khoobsurati Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka hi Sadqa Hai .

Qadmo Me Jabee (n) ko Rahne Do Chehre Ka

Tasawwur Mushkil Hai

Jab Chaand Se Roshan Edi Hai to Ruqsaar Ka

Aalam Kya Hoga

Page 34: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

34 | P a g e

✔ Hadees No.7

Hazrate Bara Ibne Aajib Farmate hai Maine

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص se zyada khoobsurat kisi Cheez

Ko naa dekha

📕 Bukhari Jild 1 safa 502

✔Hadees No. 8

Hazrate Abu Hurairah farmate hai Maine Koi

Cheez Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص se zyada Khoobsurat

Haseen Wa jameel na dekhi. Aisa Lagta tha jaise

Aap ke chehre me suraj Gardish kar raha hai

📗 Tirmiji Jild 1 Safa 205

Jab Husn Tha Unka Jalwa Nooma Anwaar Ka

Aalam Kya hoga

Har Koi Fidaa Hai Bin Dekhe To Deedar Ka

Aalam Kya Hoga

Page 35: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

35 | P a g e

✔ Hadees No. 9

Hazrate Abu Hurairah رضي هللا عنه farmate hai

Logo ne Pucha Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Aap Kab se

Nabi Hai ? Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Farmaya Aadam عليہ

ke Rooh Aur Jism Abhi Dono Alag Alag the السالم

Yani Inke Jisme Me Rooh abhi Aayi bhi na thi .

📓 Tirmiji Jild 2 Safa 201

📙Mishkaat Safa 513

▶Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah

Farmate hai ..

Aabo Gil Mein Noor Ki Pehli Kiran

Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hain

✔ Hadees No. 10

Hazrate Umme Sulaim رضي هللا عنها Se Marvi Hai ki

Nabi E Kareem ملسو هيلع هللا ىلص unke yahan Tashreef laate

the aur Unke ghar Qailula farmate the ( Dophar

me Aaram Farmate ) Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko Paseena

Page 36: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

36 | P a g e

Bahot Aata tha to wo Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka paseena

Jamaa kar leti thi to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya Aye

Umme Sulaim Ye kya karti ho ? to Unhone Arz

Kiya Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Aap Ka paseena jise

hum khushboo me daal dete hai aur Ye har

Khushboo se umda khushboo hai aur ek Riwayat

me hai ki Umme Sulaim رضي هللا عنها ne Arz Kiya Yaa

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Hum Apne Bacho ke liye isse

Barkat ki Ummeed Rakhte hai . Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne

Irshad Farmaya Tum thik karti ho .

📙 Mishkaat Safa 517

➡ Har Insaan ka Paseena Badbudaar hota hai

lekin Allah Ta'ala Ke Mahboob Mustafa ملسو هيلع هللا ىلص ki

Anokhi Shaan hai ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص ka Paseena bhi Har

khushboo se badhkar khushudaar hai waqai Aap

Be-misaal hai Aap ka koi jawab nahi ملسو هيلع هللا ىلص

Wallah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena

Maage na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan

Phool

Page 37: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

37 | P a g e

✔ Hadees No. 11

Hazrate Anas رضي هللا عنه se marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Chamakdar Rang wale the..Aap

ka Paseena Motiyo(n) ki tarah tha...chalte to Aisa

lagta jaise Utar Rahe hai aur Aap ki Mubarak

Hatheliya(n) mote aur Barik Resham se bhi zyada

narm thi Mushq aur Amber mein bhi maine

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki tarah mahak aur khushboo na

paayi.

📙 Muslim Jild 2 Safa 257

📘 Mishkat Safa 516

✔ Hadees No. 12

Hazrate Ammar Bin Yaasir ke pote Hazrate Abu

Ubaida se marvi hai ki Maine Rubay'ia binte

muabwah Bin Afra'a se guzarish ki ke Huzoor

ki shaan Bayan kijiye. to Unhone farmaya ملسو هيلع هللا ىلص

agar tum Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ko dekhte to aisa lagta

hai jaise tum suraj ko nikalte huye dekh rahe ho .

📙 Mishkat Safa 517

Page 38: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

38 | P a g e

✔ Hadees No. 13

Hazrate Jaabir Bin Samurah رضي هللا عنه se Marvi

Hai ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne Irshad Farmaya ki

beshaq main Makkah Muazzama me us patthar

ko khoob pahchanta hu jo ailane Nubuwwat se

Qabl mujh ko salaam karta tha

📓 Muslim Jild 2 Safa 245

Wo Kamaal E Husne Huzoor Hai ke Gumaa(n)

Ne Naqs Jahan Nahin

Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Shamma

Hai ke Dhuwaan Nahin

✔ Hadees No. 14

Hazrate Abuzar Gifaari رضي هللا عنه se marvi hai ki

unhone Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص se arz kiya ki Yaa

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص aapne kaise jaana ke Aap Nabi

hai Yahan tak ki Aap ko Yaqeen ho gaya to

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Farmaya ki ek baar Jab main

Makkah Muazzama ke ek pathrile Ilaaqe me tha

to do farishte aaye ek zameen ki taraf chala gaya

Page 39: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

39 | P a g e

aur dusra zameen wa aasmaan ke darmiyan raha

to unme se ek ne dusre sathi se kaha kya ye wahi

hai usne kaha Haan . inko ek aadmi se tolo main

taula gaya pas main hi bhaari tha fir kaha 10 se

tolo main 10 se taula gaya tab bhi main bhari tha

fir kaha 100 se tolo main taula gaya ab bhi main

bhari tha fir kaha 1000 se tolo to main taula gaya

ab bhi main hi bhari tha aur main dekh raha hu ki

Palla Halka Hone ki wajah se goya wo mere upar

gire aa rahe hai to inme se ek farishte ne dusre se

kaha agar tum inko inki puri Ummat se tolo tab

bhi ye bhari honge.

📙 Mishkat Safa 515

➡ Is Hadees se Malum Hua ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki

Zaahiri bashariyat aur hai Aur Aap ki haqeeqat

kuch aur Ba-zahir dekhne me to Aap ملسو هيلع هللا ىلص Insano

ki tarah qado kaamat aur wazan rakhte hai . aur

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki Haqeeqat sari ummat par wazan ke

aitebaar se bhi bhaari hai aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki ummat

kitni badi hai is baare me khud Khuda E Ta'ala ka

irshad hai

➡ Humne Aap ko saare insano ki taraf Nabi wa

Rasool bana kar bheja hai to jo dekhne me Insan

Page 40: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

40 | P a g e

wa Bashar mahsoos hota hai lekin uska wazan

saare insano se kahi zyada ho iski haqeeqat ko

Allah Ta'ala Ke alawa koun jaan sakta hai

Allah Ka Mahboob Ba-Zaahir To Bashar Hai

Jo Uski Haqeeqat Hai Khuda Hi ko Khabar Hai

✔ Hadees No.15

Sahabi e Rasool Hazrate Abu Saeed رضي هللا عنه

Farmate hai ki Main Masjid e nabawi me Namaz

Padh raha tha to Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne mujhe

pukara maine Namaz ki wajah se jawab nahi diya

jab baad me Haazire khidmat hua to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

ne Sabab arz kiya main Namaz Padh raha tha

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya kya Allah Ta'ala ne

Quran Shareef me ye nahi farmaya hai Jab Allah

wa Rasool bulaye to Jawab do

📕 Bukhari Jild 2 Safa 642 & 669

➡ Sahi Bukhari ki is hadees se waazeh ho gaya ki

Namaz padhte waqt kisi baat ka jawab nahi diya

Page 41: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

41 | P a g e

ja Sakta aur na kisi ke bulane par Aaya jayega aur

aisa karega to Namaz batil ho jayegi lekin Huzoor

ke bulane par Aana Zaruri hai aur Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

ki shaan auro ke jaisi nahi hai aur Aapke ملسو هيلع هللا ىلص

misl koi Nahi.

➡ Aur Quraan shareef ki wo Aayat Jo Hazrat

Abu Saeed رضي هللا عنه ko nasihat farmate Huye

Yaad dilayi jiska matlab hai Allah Wa Rasool

Bulaye to Fauran Hazir ho jao .

📖 Surah Anfaal Para 9 Ruku 17

Isme Allah Ta'ala ne Apne Naam ke sath Huzoor

ka Naam Milaya hai ملسو هيلع هللا ىلص

Saabit Hua Ke Jumla Faraaiz Furu'a Hai Aslal Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hai

Page 42: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

42 | P a g e

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Wisaal ke baad

bhi zinda hai

Page 43: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

43 | P a g e

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Wisaal ke baad bhi zinda hai

✔ Hadees No.1

Hazrate Abu Darda رضي هللا عنه Kahte hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ke Jumma ke

din mere upar Durood Shareef padha karo...ye

haazri ka din hai is din Farishte Haazir hote hai

aur jab koi mere upar Durood padhta hai to uska

Durood mere upar pesh hote rehta hai jab tak wo

padhta rehta hai . Hazrate Abu Darda رضي هللا عنه

ne Arz kiya Aap ke duniya se rukhsat hone ke

baad bhi to Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya

beshak Allah Ta'ala ne zameen ke liye Haraam

kar diya hai ki wo Ambiya Ke Jism ko

khaye...Allah Ke Nabi Zinda Rehte hai aur unhe

Rizq Diya jata hai .

📔 Ibne Majah Safa 119

📘 Mishkat Safa 121

Page 44: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

44 | P a g e

➡ Ye Hadeese Pak Is aqeede ke liye Bilkul Sahih

wa saaf hai ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki hayate zaahiri

aur baad wisaal ke kisi kism ka koi farq nahi hai

Momino Padhte Raho Tum Apne Aaqa par

Durood

Hai Farishto (n) Ka Wazeefa Assalato

Wassalam

✔Hadees No.2

Hazrate Ayesha Siddiqua رضي هللا عنها Se marvi hai

ki main is hujre jis me Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki Qabre

Anwar hai yun hi nange sar aati jati thi ki ek qabr

mere Shauhar ki hai Yani Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص aur

dusri qabr mere walid ki hai Yaani Hazrate Abu

Bakr Siddique رضي هللا عنه ki aur jab se isme

Hazrate Umar رضي هللا عنه dafn kiye gaye hai to

main jab kabhi bhi main aati hu to sharm wa

haya ki wajah se chadar khoob lapet kar aati hu.

📘 Mishkat Safa 154

Page 45: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

45 | P a g e

➡ Is Hadees Shareef se khoob wazeh ho gaya ki

Hazrte Ayesha Siddiqua رضي هللا عنها ka Aqeeda

yahi tha ki Khuda e Ta'ala ke Makhsus bande

baad wisal apni qabro se aise dekh rahe hai jaise

zindagi me mulahiza farmate the warna

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص aur Hazrate Abu Bakr رضي هللا عنها

ki Qabre Anwar par Shohar aur walid hone ki

bina par be pardah aana aur Hazrate Umar رضي

ke wahan dafn hone ke baad parde ke sath هللا عنه

aane ka aur kya matlab hai ??

Tu Zinda Hai Wallah,Tu Zinda Hai Wallah

Meri Chashme Aalam Se Chhup Jaane Wale

✔ Hadees No.3

Hazrate Abdullah Bin Umar رضی هللا عنہ se marvi

hai ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya jisne

Hajj kiya Aur Meri Qabr ki ziyarat ki to Wo aisa Hi

hai jaise Usne Mujhko Duniyawi zindagi me

dekha

Page 46: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

46 | P a g e

📘 Mishkat Safa 241

Hogi Shafa'at Uski Jisne Madeena Aa kar

Haan Ek Nazar Bhi Dekha Mere Nabi Ka Rouza

✔ Hadees No.4

Hazrate Abuzar Gifari رضي هللا عنه se marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne Meraaj ki shab aasmano me

Hazrate Aadam , Hazrate Idrees , Hazrate Ibrahim

, Hazrate Moosa , Hazrate Isaa عليہ السالم se Mulakat

farmayi aur ye bhi Zikr kiya ke Unhone Hazrate

Aadam عليہ السالم se pahle Aasman Par aur

Ibraheem عليہ السالم ko chhate(6th) Aasman par

paya to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص jab Jibraeel عليہ السالم ke sath

Hazrate Idrees عليہ السالم ke paas guzre to Unhone

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص se farmaya ki mubarak ho safare

Meraaj inko jo swaaleh Nabi hai Aur Swaaleh

Bhai Hai Fir Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Hazrate Moosa عليہ السالم

ke paas se guzre to Hazrate Moosa عليہ السالم ne bhi

isi tarah mubarak baad di Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne pucha

ye koun hai ? to Hazrate Jibraeel عليہ السال ne arz

kiya Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ye Moosa عليہ السالم Hai .

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya fir main Hazrate Isaa

Page 47: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

47 | P a g e

ke paas se guzra to unhone bhi isi tarah عليہ السالم

mubarak baad di Maine kaha ye koun hai ?

Bataya gaya ye Isaa عليہ السالم Hai Bete Mariyam ke

, Fir main Hazrate Ibraheem عليہ السالم ke paas se

guzra to unhone kaha mubarak baadi hai inke

liye jo swaaleh Nabi aur Swaaleh Farzand hai

maine kaha koun hai bataya gaya Ye Hazrate

Ibraheem عليہ السالم hai

📓 Muslim Jild 1 Safa 93

📘 Mishkat Safa 529

📕 Bukhari Jild 1 Safa 471

➡ Is Hadees Shareef ke ye alfaaz Muslim Shareef

se naql kiye gaye hai iske alawa is mafhoom ki

Hadees yani shabe meraaj Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka

Ambiya e kiraam se mulakat dua wa salaam aur

baatcheet aur mubarakbaadiya Bukhari aur

Muslim Shareef Balqi takreeban sabhi ahadees ki

kitabo me mukhtalif muqamaat par mukhtalif

alfaz se marvi hai jisse khoob achi tarah sabit

hota hai ki Ambiya e Kiraam baade wisaal bhi

Apne jismo ke sath Zindah hai aur Zameeno

Page 48: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

48 | P a g e

Aasmano me jahan chahte hai rahte hai aate aur

jaate hai Balqi is Hadees ke Aakhiri kalamat jo

ikhtiyar ke peshe nazar Naql Nahi kiye inme Ye

bhi hai ke Hazrate Moosa عليہ السالم ke kehne par

Baar Baar Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Rab Ta'ala se Namaz

me aasani chahi aur wo 50 se 5 waqt ki hui . In

Ahadees ko padhkar ye kehna ki Ambiya wa

Awliya Maaz'Allah mar kar fanah ho gaye ya

Bilkul Mit gaye ye Imaan walo Ki Boli Hargiz Nahi

hai

Mile The Raah Me Nau Baar Kis LIye Moosa

Ye Deed e Haq Ka Bahana Huzoor Jante Hai

✔ Hadees No.5

Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی هللا عنہ se marvi

hai ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke sahaba me se ek sahabi ne

ek jagah qabr par khaima laga liya aur unhe

khabar na thi ki yahan qabr hai to unhe malum

hua ki ye kisi ki qabr hai aur sahibe qabr Surah

Mulq ki tilawat kar rahe hai yahan tak ki Unhone

Page 49: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

49 | P a g e

puri Surah Tilawat ki ye sahabi Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki

Khidat me haazir huye aur Arz ki Yaa Rasoolullah

maine bhool se ek qabr par khaima lagaya ملسو هيلع هللا ىلص

to Maine dekha ki qabr me jo sahab hai wo surah

Mulq tilawat kar rahe hai yahan tak unhone puri

surah padhi

📓 Tirmiji Jild 2 Safa 112

📘 Mishkat safa 187

➡ Is Hadees Shareef Se malum hua ki Allah Ke

Makhsus Bande apni Qabro me Hayaat hai aur

wo Apni Qabro me Khuda E Ta'ala ki Ibadat aur

Quraane Azeem ki tilawat bhi kar lete hai Yani

Inki zindagi Duniya ki tarah hai

Zamee(n) Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi

Hota

Muhammed Ke Gulamo Ka Kafan Maila Nahi

Hota

Page 50: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

50 | P a g e

✔Hadees No.6

Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی هللا عنہ se marvi

hai ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص arzak ghaati se guzare

Farmaya ye kounsi ghaati hai arz kiya gaya Arzak

Farmaya goya ke Main Hazrate Moosa عليه السالم

ko dekh raha hu jo pahadi se niche utar rahe hai

aur buland Awaaz se Izzo Inkesari ke sath Allah

Ta'ala ke liye Hajj ki talbiyah padh rahe hai Fir

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Harsha pahadi par tashreef laye

farmaya ye kounsa pahadi ka raasta hai arz kiya

gaya iska Naam Harsha hai to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne

farmaya ke main Mataa ke bete Hazrate Younus

ko ek purgosht surkh Oontni par dekh عليه لسالم

raha hu wo unka Jubbah pehne hue hai unki

oontni ki muhaar khuzoor ki chhaal se bani hui

hai aur wo Hajj ke liye talbiyah padh rahe hai

📘 Muslim Jild 1 safa 94

➡ Yaani Jin Ambiya e kiraam ke wisaal ko kayi-

kayi Hazaar Saal guzar chuke the inko Huzoor

ne Hajj ke liye Talbiyah padhte hue yani Hajj ملسو هيلع هللا ىلص

karte hue Mulahija Farmaya (Aankh Se dekha )

Page 51: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

51 | P a g e

Ambiya Ko Bhi Ajal Aani hai

Magar aisi ki Faqat Aani Hai

Phir Usi Aan Ke Baad Unki Hayaat

Misle Sabiq Wahi Jismani Hai

Ye Hai Hayye Abdi Inko Raza

Sidqe Wada Ki Qaza Mani hai

✔ Hadees No.7

Hazrate Jaabir رضي هللا عنه se marvi hai ke jab Uhad

ka maarka darpesh aaya to mere walid ne raat ko

mujhe bulaya aur farmaya ki lagta hai ki subah ko

jung me shaheed hone wale as'haab me pehla

main hunga aur Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko chod kar baaqi

logo me mere nazdeek sabse zyada mehboob

tum ho Mere upar kuch karz hai isko adaa karna

aur apni Behno ke sath nek sulooq karna Hazrate

Jaabir رضی هللا عنہ kehte hai ki jab subah jung hui

to sabse pehle mere waalid shaheed hue maine

unhe ek dusre ke sath qabr me dafn kar diya fir

mujhko naa gawar maloom hua ki mere waalid

kisi aur ke sath qabr me dafn ho to maine 6 maah

ke baad qabr khod kar unhe nikala to wo aise

Page 52: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

52 | P a g e

nikle jaise aaj aur abhi-abhi dafn kiye gaye ho bas

zara kaan mut'assir tha

📕 Bukhari Jild 1 Safa 180

Is Hadees se ba-khoob maloom hua ke Hazrate

Jaabir رضی هللا عنہ ke waalid Abdullah 6 Maah

guzarne ke baad bhi qabr me sahi wa saalim taro

taza the. Lihaza ye kehna durust hai ki Khuda ke

khaas bande Mout ke baad bhi zindah hai

📕 Bukhari Jild 1 safa 178

Aashiqe Nabi Hu Main Waarise Ali Hu Main

Maila Hona Payega Hashr Tak Kafan Mera Ke

Main Gulame Khwaja hu Hind Hai Watan Mera

✔ Hadees No.8

Hazrate Anas رضی هللا عنہ riwayat karte hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya Insaan jab

qabr me dafn kar diya jata hai aur log moodne

lagte hai to wo in logo ke jooto ki aahat sunta hai

Page 53: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

53 | P a g e

📕 Bukhari Jild 1 safa 178

✔ Hadees No. 9

Hazrate Abu Saeed Khudri رضی هللا عنہ se marvi hai

ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki jab

janaza taiyaar ho jata hai aur log use kaandhe

par uthate hai agar wo acha hai to kehta hai

mujhe jald le chalo agar bura hai to ghar walo se

kehta hai mujhko tum kaha liye ja rahe ho. Iski

aawaz ko siwa insano ke sab sunte hai agar

insaan sun le to behosh ho jaye

📕 Bukhari Jild 1 Safa 176

Main Qabr Andheri Me Ghabraunga Jab Tanha

Imdad Meri Karne Aa Jana Mere Aaqa

Roshan Meri Turbat Ko Aye Noore Khuda Karna

Jab Waqte Naza'a Aaye Deedar Ataa Karna

Page 54: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

54 | P a g e

✔Hadees No.10

Ibne Shahab ne kaha ki ye hai Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

ke Gazwaat (ladaiyya) aur fir Gazwa e Badar ka

zikr karte hue bataya ko Badar mein maare gaye

kaafiro ki laasho se khitaab karte hue Rasoolullah

ne irshad farmaya kya tumne wo paa liya ملسو هيلع هللا ىلص

jiska tumhare Rab ne tumse saccha waada

farmaya tha . Logo ne kaha Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

kya Aap murdo se kalaam kar rahe hai ?

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya jo kuch main

keh raha hu ye tumse zyada meri baat sun rahe

hai

📕Bukhari Jild 2 safa 573

✔Hadees No. 11

Hazrate Ayesha Siddiqua رضي هللا عنها se riwayat

hai ki unhone Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص se pucha ke jab

hum Qabro ki ziyarat kare to kya padhe ? Huzoor

ne irshad farmaya padho aye Momino aur ملسو هيلع هللا ىلص

Musalamano ke ghar walo tum par salaam ho

Page 55: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

55 | P a g e

Allah Ta'ala hamare pichle aur pehle walo par

Rahem farmaye hum bhi ان شاء هللا tumse aakar

milne wale hai

Mishkat Jild 1 safa 314

Qabr me Lahrayenge Jis Waqt Jalwe Noor Ke

Hum Padhenge Roohe Poor Anwaar Par Lakhon

Salaam

✔Hadees No. 12

Hazrate Bureeda se marvi hai ki jab log qabro ki

ziyarat ko jaate to Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص unhe ye alfaz

sikha dete

▶ Aye momino aur musalamano ke ghar walo

tum par salamati ho In sha Allah hum bhi tum se

zaroor milne wale hai Hum Allah Ta'ala se apne

aur tumhare liye Aakhirat me azaab se salamati

mangte hai

▶ In Ahadees Ko padh kar aap ko lagega ki

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne qabro ki ziyarat ke waqt jo dua

Page 56: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

56 | P a g e

taleem farmayi hai uska tareeqa aisa hai jaise

zindo se baat chit aur dua wa salaam karte hai

aur manna padega ke marne ke baad insaan ek

khaas qism ki zindagi ke sath zinda hai

Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur

Bheje Sab Unko Shaukat Pe Lakhon Salaam

✔ Hadees No. 13

Hazrate Saeed Bin Abdul Azeez se marvi hai ki

ayyame harrah me 3 din Masjide Nabawi shareef

mein na Azaan hui aur na takbeer Hazrat Saeed

masjid mein hi rahe aur unhe Namaz ke waqt ka

pata ek gungunahat ki aawaz se chalta tha jo

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki qabre Anwar se har Namaz ke

waqt aati thi

📓 Mishkat Babul karamat safa 545

Page 57: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

57 | P a g e

▶ Ye Waqiya harrah 63 hijri ka wo bhayanak

haadisah hai ki jab Yazeed paleet ne Muslim Bin

Aqba ko ek lashkar dekar Madeene shareef par

chadhai karayi aur shahare Rasool ملسو هيلع هللا ىلص ko

barbaad kiya beshumar mard wa aurat qatl kiye

gaye aabru rezi bhi ki gai masjide Nabawi Shareef

mein musalsal 3 din tak Azaan wa Jamaat na hui

Mash'hoor tabayi Hazrate Saeed deewano ki

tarah Masjid Shareef ke ek kone me rehte the

Yazeedi fouz ne unhe pagal samajh kar chhor

diya tha ye Azaan wa Namaz ke Waqt

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki qabre Anwar se gungunahat

ki aawaz sunte aur usi par Namaz ada Karte

Har daur me Ahle Haq Ka ye Aqeeda raha hai ki

Allah Ta'ala ne Apne Mahboob Hazrat

Muhammed Mustafa ملسو هيلع هللا ىلص ko Gaib-da banaya aur

Aap ملسو هيلع هللا ىلص Dhaki , Chhupi , Guzri aur aayenda

qayamat tak hone wali har baat ko Jaante Hai

✔ Hadees No.14

Hazrate Ka'ab se riwayat hai ki Har din 70 hazaar

farishte utarte hai aur wo Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki

Page 58: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

58 | P a g e

qabre Anwar ko gher lete hai...apne par biccha

dete hai aur Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص par Durood shareef

padhte rehte hai yahan tak ke jab shaam ho jati

hai to wo chadh jaate hai aur inki tarah itne hi

farishte aur utarte hai wo bhi isi tarah karte hai

yahan tak ke Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص jab Qabre Anwar se

bahar tashreef layenge to 70 Hazaar farishto ke

Zurmooth me jalwa farmayenge aur wo Farishte

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ko pahochayenge

📓 Mishkat Babul Karamat safa 546

▶ Is Hadees ke peshe nazar Yaqeenan

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Qabre Anwar me Ba-kayeda baa

hayaat hai isiliye to ye sab ehtamam farmaya jata

hai warna jahan mitti ka dher ho waha farishte

kyun aayenge

✔ Hadees No.15

Jab Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke shahzade Hazrate Ibraheem Ka

wisaal hua to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya unke liye

jannat mein ek doodh pilane wali muqarrar kar di

gayi hai

Page 59: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

59 | P a g e

📓 Mishkat Safa 568

▶ Bachpan me intiqal karne ki wajah se jinhe

Jannat me Doodh pilaya jata hai Unhe murdah

kehna musalman ka kaam nahi hai

▶ Tabhi to Mere Aala Hazrat Azeeemaul Barkat

Ash Shah Imam Ahmed Raza Farmate hai

Tu Zindah Hai Wallah Tu Zindah Hai Wallah

Meri Chasme Aalam Se Chhup Jane Wale

Page 60: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

60 | P a g e

Ilme Gaib e Mustafa ملسو هيلع هللا ىلص

Page 61: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

61 | P a g e

Ilme Gaib e Mustafa ملسو هيلع هللا ىلص

✔ Hadees No. 1

Hazrate Umar رضي هللا عنه se riwayat hai ki Nabi E

Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ek roz hamare darmiyan khade hue

to Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne makhluq ki paidaish ka ibteda se

zikr farmana shuru kiya yahan tak ki Jannati

Apne maqaam par pahoch gaye aur dozakhi

apne maqaam par ise yaad rakha jisne yaad

rakha aur bhool gaya jisne bhool gaya

📕 Bukhari Jild 1 safa 354

📘 Muslim Jild 2 safa 390

Haashiye mein hai " Imaam taibi ne farmaya ki is

hadees se zaahir hai ki saari makhluq ke saare

haalat Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Sahaba ko bata diye

Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jaante Hai

Teri Ataa Se Khudaya Huzoor Jaante Hai

Page 62: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

62 | P a g e

✔ Hadees No.2

Hazrate Anas Ibne Malik رضي هللا عنه se marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص suraj dhhal jaane ke baad bahar

tashreef laaye fir humko zuhar ki Namaz padhayi.

Jab salaam fer diya to Aap ملسو هيلع هللا ىلص mimber par jalwa

afroz hue aur Qayamat ka zikr Farmaya aur un

bade bade umoor ka jo isse pahle hai fir farmaya

agar koi mujhse jo kisi cheez ke baare me puchna

chahe to puch lo Khuda Ki Kasam Tum mujhse jo

puchoge main bata dunga jab tak main is jagah

hu. Hazrat Anas ka bayaan hai log Zaaro kataar

rone lage aur Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Baar baar farmate

rahe jo chaho mujhse puchlo Hazrate Anas ka

bayan hai ek sahab ne khade hokar pucha ki Yaa

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص mera thikana kaha hoga

Farmaya Dozakh mein fir Hazrate Abdullah Ibne

Huzafa khade hue arz karne lage Yaa Rasoolullah

Mera Baap Koun hai ? Farmaya Tumhara ملسو هيلع هللا ىلص

baap huzafa hai. Raawi ka bayan hai ki fir Aap

baar baar farmate hai ki mujhse pucho ملسو هيلع هللا ىلص

mujhse pucho chunache Hazrate Umar رضي هللا عنه

ghutno ke bal khade ho kar kahne lage

Page 63: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

63 | P a g e

▶ Hum Allah Ke Rab Hone aur Muhammed ملسو هيلع هللا ىلص

ke Rasool Hone par Raazi hai . Jab Hazrate Umar

ملسو هيلع هللا ىلص ne ye guzarish ki to Rasoolullah رضي هللا عنه

khamosh ho gaye. Fir Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad

farmaya kasam us zaat ki jiske kabze me meri jaan

hai Abhi Abhi is deewar ke samne mujh par

Jannat aur dozakh pesh ko gai jab ki main Namaz

padh raha tha to Aaj ki tarah maine khair aur

shar ko nahi dekha

📕 Bukhari Jild 2 safa 1083

📘 Muslim Jild 2 Safa 263

Khuda Hi Jaane Ubaid Unko Hai Pata Kya Kya

Hume Pata Hain Bas Itna Huzoor Jaante Hai

Page 64: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

64 | P a g e

✔ Hadees No. 3

Hazrate Sayyedna Abu Huraira رضي هللا عنه se marvi

hai ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki tum

dekhte ho ke mera chehra is taraf hai jab ki

Khuda Ki Kasam mujh par tumhara Khushoo ( dil

ki kaifiyat) aur Ruku Hargiz poshidah Nahi. Main

pith ke piche se bhi dekhta hu

📕 Bukhari Jild 1 Safa 59

✔ Hadees No. 4

Hazrate Anas Ibne Malik رضي هللا عنه se marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne hum ko Namaz Padhayi fir

mimbar par Tashreef farma hue aur Namaz aur

Ruku ka bayan kiya aur farmaya ki main tum ko

piche se bhi aise dekhta hu jaise aage se

📕 Bukhari Jild 1 Safa 59

➡ Sharah Bukhari aini mein hai ye sirf Namaz ke

Sath nahu balqi Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص hamesha jis tarah

aage dekhte hai waisi hi piche

Page 65: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

65 | P a g e

Munafiqon Ka Aqeeda Wo Gaib daan Nahi

Sahabiyon Ka Aqeeda Huzoor Jaante Hai

✔ Hadees No. 5

Hazrate Abu Hurairah رضي هللا عنه se marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne Habsha ke baadshah Nujashi

ki mout ki khabar usi din de di jis din Intiqaal hua

📕 Bukhari Jild 1 Safa 167

➡ Habsha Madine Shareef se hazaaro meel par

hai jise Aaj kal Ethopiya kahte hai waha ke

baadshah Hazrat Najashi ka intiqaal hote hi

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Madine walo ko is ki khabar de di

thi kyun ki Allah Ta'ala ne Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko gaib ka

Ilm diya hai

Khabar Bhi hai Ke Khabar Sab Ki Unhe Hai kab

Se

Ke Jab Na Ab Tha Na Tab Tha Huzoor Jaante Hai

Page 66: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

66 | P a g e

✔ Hadees No. 6

Jis waqt mulqe Shaam mein Maqaam Mutooh

mein Musalamno aur isaaiyon ke darmiyan jung

jaari thi Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Madeene Paak mein

Apne Sahaba mein farma rahe the

▶ Zaid ne Alam ko uthaya to wo Shaheed ho

gaye fir Jaafar ibne Abi Talib ne Alam uthaya to

wo shaheed ho gaye fir jung ka jhanda Abdullah

Ibne Rawaha ne utha liya to wo bhi Shaheed ho

gaye Jung ka Manzar bayan karte hue

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki Aankhon mein Aansuu jaari

ho gaye the Fir Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki ab

Baghair Sardar banaye Khalid Ibne waleed ne

jhanda le liya to Ab Musalmano ko fatah naseeb

ho gai

📕 Bukhari Jild 1 safa 167

▶ yeh Mutooh ka maqaam Madeene Shareef se

Hazaaro meel ki doori par hai Aur Rasoole Paak

wahan hone wali Jung Ko Madeena ملسو هيلع هللا ىلص

Tayyaba mein rah kar mulahiza farma rahe hai

Page 67: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

67 | P a g e

aur Apne As-haab ko jung ke haalaat bhi bata

rahe hai aur jaanisaro ki shahadat par Aansuu

bhi baha rahe hai

▶Yeh Sab Ilme Gaib Nahi To Aur Kya Hai ??

Aye Ilme Gaib Ke Munqir Khuda Ko Dekha Hai

???

Tujhe Bhi Kahna Padega Huzoor Jante Hai

✔ Hadees No. 7

Junge Badr ki Hadees me Hazrate Anas رضي هللا عنه

se marvi hai ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne maidane jung

mein jung se pehle Zameen par apna hath rakh

kar farmaya ki Yeh falan kaafir ke marne ki jagah

hai aur ye falan ke Raawi kahte hai ki jis ko

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne jahan hath rakh kar farmaya

tha wahi par wo maara gaya

📓 Sahih Muslim Jild 2 Safa 102

📘 Nasayi Jild 1 Safa 226

Page 68: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

68 | P a g e

▶ Is Hadees Ko padh kar ye andaza lagana

mushkil hai ki Allah Ta'ala ne Apne Rasool ملسو هيلع هللا ىلص ko

kis qadar ilm ata farmaya hai ki abhi jung nahi

hui hai aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne ek ek kaafir ke maare

jaane ki jagah ki nidhandehi farma di goyaa Aap

ye bhi jaante the ki koun koun maara jayega ملسو هيلع هللا ىلص

aur ye bhi jaante the ki kahan maara jayega

Kahan Marega Abu Jahal o Utba o Sheiba,

Ke jung e Badr ka Naqsha Huzoor Jaante Hain

✔ Hadees No. 8

Hazrate Ayesha Siddiqua رضي هللا عنها se marvi hai

ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص se Aap ki ba'az biwiyo ne ek

martaba sawal kiya ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke baad Hum

mein se sab se pehle Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke Paas koun

aayegi to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki tum

mein jis ka haath zyada lamba hoga . Paak

biwiyon ne charri hath me le kar hath naapna

shuru kar diye to Hazrate Sauda ka haath lamba

nikla fir baad mein hum ko maloom hua ki haath

Page 69: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

69 | P a g e

ki lambai se muraad sadqa yaani sakhawat hai

chunanche wo sab se pehle Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص se mili

aur inhe khairat karna bahot pasand tha

📕 Bukhari Jild 1 Safa 191

➡ Is Hadees ko padhne se chand baate khul kar

saamne aati hai

1. Allah Ke Rasool ملسو هيلع هللا ىلص ke baare mein Aap ملسو هيلع هللا ىلص

ki paak biwiyon ka aqeeda tha ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

maloom hai ki kis ko kab mout aayegi ? Isliye to

unhone Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص se dariyaft farmaya ki Aap

ke baad hum mein se koun Aap se pehle ملسو هيلع هللا ىلص

milegi

2. Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka jawab marhamat farma dena ki

tum mein lambe hath wali milegi Is baat ki

nishandehi hai ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne unke is aqeede

ki taeed kar di

3. Lambe hath se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

Ki muraad sadqa wa khairat karna tha aur paak

biwiyon ne naapna shuru kar diya goyaa hadees

ka mafhoom samajhne mein unse bhi chuk hui

isse maloom hota hai Hadees shareef ka

Page 70: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

70 | P a g e

mafhoom samajhna mushkil kaam hai isiliye olma

e kiraam se raabata aur kisi Imaam ki taqleed kar

ke muqallid hona chahiye

4. Sadqa Wa khairat Karne wale Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص se

zyada kareeb hai

✔ Hadees No. 9

Hazrate Sauban رضي هللا عنه se marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne Irshad farmaya ki Allah Ta'ala

ne mere liye saari roo e zameen ko ikattha farma

diya to maine zameen ke saare purab aur saare

paschim dekh liye aur mujhko do khazane ata

farmaye gaye ek surkh aur dusra safed

📓 Sahih Muslim Jild 2 Safa 390

✔ Hadees No. 10

Hazrate Abu Zar Gifari رضي هللا عنه se marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya main wo dekhta hu

jo tum nahi dekhte aur main wo sunta hu jo tum

nahi sunte

Page 71: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

71 | P a g e

📘 Tirmizi Jild 2 Safa 55

✔ Hadees No. 11

Hazrate Ayesha Siddiqua رضي هللا عنها farmati hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص wo dekhte the jo main nahi

dekhti thi

📕 Sahih Bukhari Jild 2 Safa 915

Khuda Ko Dekha Nahi Aur Ek Maan Liya

Ke Jaante The Sahaba Huzoor Jaante Hai

✔ Hadees No. 12

Hazrate Abu Hurairah رضي هللا عنه se marvi hai ki ek

din Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne Fajar ki Namaz padhayi

aur mimber par Rounaq Afroz hue aur bayan

farmaya yahan tak ki Zuhar ka waqt ho gaya to

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne mimber se utar kar Zuhar ki Namaz

padhayi aur fir mimber par Rounaq Afroz ho gaye

aur bayan farmaya yahan tak ki Asr ka waqt aa

Page 72: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

72 | P a g e

gaya fir Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne mimber se utar kar Asr ki

Namaz padhayi aur fir bayan farmaya yahan tak

Suraj Guroob ho gaya to Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne jo kuch

hone wala hai Sab kuch bata diya to Hum mein

jisne zyada Yaad rakha wo zyada bada Aalim Hai

📓 Muslim Shareef Safa 390 Kitabul fitan

➡ Is Hadees se khoob acchi tarah ye baat

roushan ho gayi ki Allah Ta'ala ne Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

ko Rouze Aafrinash Se Qayamat Tak Hone Wale

Tamam Umoor se aagah farma diya hai

Hai Unke Haath Mein Kya Kya Tujhe Khabar Na

Mujhe,

Khuda Ne Kitna Nawaza Huzoor Jante Hain.

✔ Hadees No. 13

Hazrate Salma Ibne Aqwa se marvi hai ki Junge

Khaibar ke mouqa par Hazrate Ali رضي هللا عنه

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ke sath lashkar mein Aankh

dukh jane ki wajah se shareeq na ho sake the to

Hazrate Ali رضي هللا عنه ne farmaya ki main Huzoor

Page 73: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

73 | P a g e

ke sath lashkar mein shaamil hone se rah ملسو هيلع هللا ىلص

gaya fir Aap nikle Yahan tak ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke

sath fouj mein shaamil ho gaye. Raawi kahte hai

ke idhar lashkar mein jis subah ko khaibar fatah

hona tha isse pehle shaam ko Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

ne apne As-haab mein farmaya ki kal main ye

jhanda ek aise shakhs ko dunga Allah Wa Rasool

jisko dost rakhte hai ya jo Allah wa Rasool ko

dost rakhta hai .Allah Ta'ala uske hath par jung

mein fatah naseeb farmayega, farmate hai ki

achanak hamari mulaqat Hazrate Ali رضي هللا عنه se

hui halanqi hume inki aane ki koi ummeed na thi

fir Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne jhanda inhe ataa farmaya

aur Allah Ta'ala ne inke haatho par fatah Naseeb

farmayi

📕 Sahih Bukhari Jild 1 safa 525

📓 Sahih Muslim Jild 2 Safa 278

➡ Maloom ye chala ke

1. Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ba-ataa e Ilahi jaante the ki sawere

ko Qila e Khaibar fatah ho jayega

Page 74: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

74 | P a g e

2. Aap ملسو هيلع هللا ىلص ye bhi jaante the ki Hazrate Ali رضي هللا

jo lashkar mein shaamil hone se rah gaye hai عنه

wo aayenge aur ye fatah inhi ke haath par hogi

Ye Khud Shaheed Hain Bete Nawase Pote

Shaheed

Ali Ki Shaan E Yagana Huzoor Jaante Hain

✔ Hadees No. 14

Hazrate Ibne Abbas رضي هللا عنه se marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص do qabro ke paas se guzre to

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya in dono par Azaab ho raha

hai lekin kisi bade gunah ki wajah se nahi balqi

ek to peshab se ehtiyat nahi karta tha aur dusra

chugal khor tha Fir Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne hari shaakh li aur

iske do tukde kar ke ek-ek qabr par rakh diye logo

ne arz kiya Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص. Aap ne Aisa kyu

kiya ? Farmaya jab tak sukhegi nahi shayad azaab

mein aasani ho

📕 Bukhari Shareef Safa 35

➡ Is Hadees Se bakhoobi ye baate maloom ho gai

Page 75: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

75 | P a g e

1. Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki nigahe aqdas ke liye qabr

ke upar ki mitti waghairah aad nahi hoti aur qabr

ke andar upar se hi mulahiza farma lete hai

2. Qabr me Dafn hue logo ki zindagi ke haalaat

bhi Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke peshe nazar rahte hai ki kis ne

kya kiya aur kis wajah se is par azaab ho raha hai

Chhupa Rahe Hai Lagataar Wo Mere Aibon Ko

Main Kis Qadar Hoon Kameena Huzoor Jaante

Hai

✔ Hadees No. 15

Hazrate Jaabir رضي هللا عنه se riwayat hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ek safar se wapas tashreef laye

Jab Aap ملسو هيلع هللا ىلص Madeene Shareef ke kareeb hue to

ek hawa aisi chali ki lagta tha ki wo sawaro ko

dafn kar degi Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya ye

hawa ek munafiq ki mout par bheji gayi hai .

Raawi kahte hai ki jab Madeena shareef aaya to

waqayi munafiqin ka sardar mar gaya tha

Page 76: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

76 | P a g e

📓 Mishkat Babul Mojezaat Safa 536

Yaani Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne raaste mein hi apne

As-haab ko bata diya Madeena mein ek munafiq

mar gaya hai

Ye safar Gazwa e Tubook se wapasi ka tha aur wo

munafiq Rifa'a Ibne Duraid Tha

Awwal-O-Aakhir Sab Kuch Jaane Dekhe Ba'eed-

O-Qareeb

Gaib Ki Khabare Dene Waala Allah Ka Wo

Habeeb

✔ Hadees No.16

Hazrate Abdullah Ibne Umar عنهرضي هللا se marvi

hai ki ek baar Hazrate Umar رضي هللا عنه ne jehaad

ke liye ek lashkar bheja aur uska Ameer Saariya

Naam ke ek sahab ko banaya to jis waqt Hazrat

Umar رضي هللا عنه Masajide Nabawi Shareef mein

khutba de rahe the to Zor Se farmaya Aye Saariya

Pahaad ! Fir lashkar se ek kaasid aaya aur usne

arz kiya Aye Ameerul Momineen hum jung kar

rahe the aur dushman ne hum ko shikast dedi thi

Page 77: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

77 | P a g e

ki humne suna koi buland aawaz se keh raha tha

Aye Saariya Pahaad ! Fir humne pahad ko apne

piche lekar jung ki yahan tak ki dushman ko

shikast dedi

📓 Mishkat Babul Karamat Safa 546

➡ Yaani Hazrat Umar رضي هللا عنه Madeena

Tayyabah mein Masajide Nabawi Shareef ke

andar khutba dete hue Hazaaro Meel par waaqe

Nahawand mein maidane jung ko mulahiza

farma rahe the aur Ye Hazrate Umar رضي هللا عنه

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke sahabi hai to jab Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke

gulamo ke Ilme Gaib ka ye haal hai to khud

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke Ilme Gaib ka Aalam kya hoga ?

Chahe To Ishaaro Se Apni Kaaya Hi Palat De

Duniya Ki

Ye Shaan Hain Unke Gulamo Ki To Sarkar Ka

Aalam Kya Hoga

Page 78: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

78 | P a g e

✔ Hadees No.17

Hazrate Abu Moosa Ash-ari رضي هللا عنه farmate hai

ki Nabi E Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ek baag mein daakhil hue

aur mujhko baag ke darwaze par dekh bhaal ka

huqm diya fir Ek Aadmi ne Aa kar ijazat maangi

to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki inhe Andar

Aane ki ijazat de do aur Jannat ki Basharat de do

Maine Dekha wo Shakhs Hazrate Abu Bakr

Siddique رضي هللا عنه the fir Dusre Shakhs ne Ijazat

Maangi to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya inhe

andar aane ki ijazat de do aur Jannat Ki Basharat

de do maloom hua wo Hazrate Umar Farooq رضي

the fir aur ek Shakhs se Ijazat maangi to هللا عنه

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص thodi der khamosh rahe aur farmaya

inhe bhi ijazat dedo aur Jannat ki basharat dedo

lekin ek musibat ke sath jo inhe pahochegi to

maloom hua ki wo Hazrate Usmane Gani رضي هللا

hai عنه

📕 Sahih Bukhari Jild 1 Safa 522

📓 Muslim Jild 2 Safa 277

Page 79: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

79 | P a g e

➡ Is Hadees se Maloom hua ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

baag ke andar jalwa farma the aur darwaze par

aane wale ko pehchan lete the aur ye bhi irshad

farma dete the ki wo Imaan wa hidayat par

qayam rahenge yaani Jannat mein jayenge aur

Hazrate Usman رضي هللا عنه ke baare mein Aap ملسو هيلع هللا ىلص

ko ye bhi Ilm tha ki un par ek din musibat aayegi

Yaani balwayi unka muhasra kar lenge aur fir

Unko Be-rahmi ke sath ghar mein Shaheed kar

diya jayega

Wo Daso Jinko Jannat Ka Mujdah Mila

Us Mubarak Jama'at Pe Lakhon Salaam.

✔Hadees No.18

▶ Hazrate Safeena رضي هللا عنه se riwayat hai ki

maine Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ko ye farmate suna ki

khilafat mere baad 30 saal rahegi fir baadshahat

hogi. Raawi E Hadees Hazrate Safeena kehte hai

ki Hazrate Abu Bakr رضي هللا عنه ki khilafat ko 2 saal

shumaar karo , 10 saal Hazrate Umar رضي هللا عنه

Page 80: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

80 | P a g e

Hazrate Usman e Gani رضي هللا عنه ke 12 saal aur 6

Saal Hazrate Ali رضي هللا عنه ke shumaar karo

📓 Mishkat Safa 463

📗 Tirmizi Jild 2 Safa 45

➡ Yaani Hazrate Safeena رضي هللا عنه ne hadees

bayan farmane ke baad ye bhi shumaar kar ke

dikha diya ki waqayi khilafat sirf 30 saal rahi aur

baad mein baadshahat ho gai aur Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

ne Apne Ilm 'Maa Kaana Wamaa Yakoon' se jo

kuch farmaya wo Durust ho kar raha

Wo Zabaan Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe

Uski Naafiz Huqumat Pe Laakhon Salaam

✔ Hadees No. 19

Hazrate Ayesha رضي هللا عنها se marvi hai ki Nabi E

Paak ملسو هيلع هللا ىلص jab Aleel (bimar) hue to Hazrate Fatima

par jhuk gayi ملسو هيلع هللا ىلص haazir hui aur Aap رضي هللا عنها

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ka bosa liya fir sar uthaya aur Ro padi.

Fir dobara jhuki aur sar uthaya to hans rahi thi .

Page 81: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

81 | P a g e

Hazrate Ayesha رضي هللا عنها kahti hai ki maine dil

me khayal ki main to Fatima ko Aurato mein

sabse zyada Aqlmand samajhti thi magar wo to

Aam aurato ki tarah hai

Jab Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka wisaal ho gaya to Maine inse

maloom kiya ki batao to sahi ki Jab Aap Nabi E

Kareem ملسو هيلع هللا ىلص par jhunki aur sar uthaya to ro rahi

thi fir dobara jhunk kar sar uthaya to hans rahu

thi iski kya wajah thi ? Hazrate Fatima رضي هللا عنها

ne farmaya lo main ye Raaz fash kiye deti hu .

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne mujhko bataya ki mera isi marz se

wisaal ho jayega to main ro padi fir bataya ke

Ahle Bait mein Tum Sabse pehle mere paas aaogi

to main Hand padi

📓 Tirmizi Jild 2 Safa 227

📗Mishkat Sako ko fa 568

(Yahi Hadees 📕Bukhari aur 📙 Muslim dono mein

hai )

➡ Yaani Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Hazrate Fatima رضي هللا

ko Apne Wisaal se bhi muttala farma diya ki عنها

main is marz mein duniya se chala jaunga aur

Hazrate Fatima رضي هللا عنها ke wisaal se bhi ki Ahle

Page 82: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

82 | P a g e

Bait mein tum sabse pehle mere paas aaogi aur

waqayi Hazrate Fatima رضي هللا عنها Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke

baad sirf 6 Maah Duniya mein rahi

Main Unki Baat Karu Kya Ye Nahi Meri Aukaat

Ke Shaane Fatima Zahra Huzoor Jaante Hai

✔ Hadees No. 20

Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي هللا عنه farmate

hai ki Karkara Naam ka ek shakhs Nabi E Kareem

ke asbaab ki hifazat par mu'ayyan tha Jab ملسو هيلع هللا ىلص

uska inteqaal hua to Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad

farmaya wo jahannami hain log is ki wajah

talaash karne lage to uske saaman mein ek Ibaa

paayi jo usne maale ganimat se chura ke rakh li

thi

📕 Bukhari Jild 1 Safa 432

➡ Yaani Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne ye bhi jaan liya ki wo

Jahannam mein hai aur Ye Bhi ki wo Jahannam

mein Kyu hai aur Jo Kapda Usne Maale Ganimat

Page 83: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

83 | P a g e

se churaya tha gaib Janne wale Nabi se wo

chhupa hua Na tha

Haamir Rab hai Khaliq Par Mustafa hai Maalik

Qismat Me Kya Likha hai Sarkar jante hai

✔ Hadees No.21

Hazrate Abu Hurairah رضي هللا عنه se marvi hai ki ek

Baar Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Humko Zuhar ki Namaz

padhayi aur sab se picchli saf mein ek aadmi

khada tha jis ne thik se Namaaz nahi padhi to jab

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص salaam fera to us shakhs ko Naam

lekar Pukara aur farmaya aye fulañ kya tu Allah

Se Nahi Darta ? Ye tu kaise Namaaz Padhta Hain ?

Kya tum Log Ye khayal karte ho ki tumhare

aamaal mein se mujhse kuch chhupa rehta hai ?

Kasam Allah Rabbul Izzat Ki main Jaise Apne

Saamne dekhta hu waise hi picche bhi dekhta hu.

Is Hadees Ko Imam Ahmed Ne riwayat kiya

📓 Mishkat Baab Siftis'salat Safa 77

Page 84: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

84 | P a g e

➡ Sabse Picchli Saf mein hone ka matlab hai ki

Sarkar ملسو هيلع هللا ىلص mein aur usme kaafi faasla tha us

zamane mein har Musalman Namazi tha Masajide

Nabawi shareef Namaziyon se bhar jaati thi fir

Bhi Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne uski Namaz ki kami ko mulahiza

farma liya fir sarahat farma di ki tumhari har halat

mere upar roushan hai

Kis Lab Pe Kya Dua Hain Sarkar Jaante Hain

Kiske Dilo Mein Kya Hain Sarkar Jaante Hain

✔ Hadees No. 22

Hazrate Huzaifa رضي هللا عنه se riwayat farmate hai

ki main nahi jaanta ke mere saathi bhool gaye hai

ya bhole ban baithe Allah Ta'ala ki kasam

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne duniya se khatm hone tak

tamaam fitna garo ko jo 300 ya kuch zyaada hai

nahi chhoda magar hum ko unke Naam bata

diye. Uska Naam Uske Baap ka Naam aur uske

khaandan aur qabeele ka Naam

📓 Mishkat Safa 463

Page 85: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

85 | P a g e

📗 Abu Dawood Safa 582

➡ Yaani Qayamat ke tamaam fitna parwaro ,

gumrahgaro ka zikr inke naam aur waladiyat aur

qabeele ke sath farma diya

Meri Aane Wali Nasale Tere Ishq Hi mein machle

Unhe Nek Tum Banana Madani Madine Wale

✔ Hadees No. 23

Hazrate Abu Saeed Khudari رضي هللا عنه ne

Masajide Nabawi ki tameer ka zikr farmate hue

farmaya ki Hum log ek-ek iint uthate the aur

Ammar Ibne Yaasir do-do to Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne

inhe dekha to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص inke jism se mitti

jhaadte jaate aur farmate ki Ammar par kada

waqt aayega inhe ek baagi giroh Qatl karega aur

ye unhe Jannat ki taraf bulate honge aur wo inhe

dozakh ki taraf. Abu Saeed ne kaha ki Ammar

kaha karte the ki Main fitno se Allah ki panah

mangta hu

Page 86: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

86 | P a g e

📕 Bukhari Shareef Jild 1 Safa 24

➡ Is Hadees Se Maloom hua ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ye

bhi jaante the ki Ammar Shaheed kiye jayenge

aur ye bhi ki inhe koun shaheed karega

Izaat Se Naa Mar Jaaye Q Naame Muhammed

Par

Yun Hi Kisi Din Humne Duniya Se To Jaana Hai

✔ Hadees No. 24

Hazrate Abu Hurairah رضي هللا عنه se marvi hai ki

Jab Khaibar Fatah hua to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki khidmat

mein zaher mila hua bakri ka gosht pesh kiya

gaya Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne Irshaad farmaya yahan jo

yahoodi hai unhe mere Paas laao to unhe jama

kar diya gaya Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص unse farmaya Agar

Main kuch pucchu to mujhe sach bataoge

Unhone kaha Haan Aye Abul Qasim ! Huzoor

ne puccha tum kiski aulad ho ? Unhone ملسو هيلع هللا ىلص

kaha hum falan ki Aulad hai Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad

farmaya tum Jhoot bolte ho tum falan ki Aulad

Page 87: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

87 | P a g e

ho to kehne lage Aap sach kehte hai aur accha

kehte hai .Fir Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya agar main

tum se kuch puchu to tum sahi bataoge ? Bole

Haan agar hum galat bolenge to Aap (Apne Ilme

Gaib ) se jaan lenge Jaise hamare baap daada ke

baare mein jaan liya. Farmaya Dozakh mein Tum

Jaoge ya Hum ? Kehne lage Hum thode din ke

liye jayenge fir hamare baad Aap isme rahoge

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Farmaya tum hi isme Zaleel hone

wale ho aur Hum Isme kabhi tumhari jagah nahi

jayenge Fir Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya Agar

main tumse koi baat pucchu to to Sahi bataoge ?

Bole haan. Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya kya

tumne is bakri mein zaher milaya ? Kehne lage

haan milaya Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya aisa tumne kyu

kiya ? Bole humne ye iraada kiya ki agar Aap

jhoote Nabi hai to humko Aap se Najaat mil

jayegi aur Agar Aap Sacche hai to Ye zehar Aap

ko Nuqsan Nahi pahochayega

📕 Bukhari Jild 2 Safa 859

📓 Mishkat Safa 543

Page 88: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

88 | P a g e

➡ Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ko gaib ka ilm ataa farmaya hai

isi liye Aap ملسو هيلع هللا ىلص bakri mein zaher ko jaan liya aur

in logo ne Aap ملسو هيلع هللا ىلص ka imtihaan lene ke liye Apne

Baap ka Naam galat bataya to wo bhi Aap ملسو هيلع هللا ىلص

ne jaan liya Aur sahi Naam bata diya aur In

Yahoodiyon ko bhi Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki Sachai aur Ilme

Gaib par yakeen tha isi liye un logon ne kaha ki

Agar Hum Jhoot bolnege to Aap jaan jayenge

🔸 Yahoodiyon ko Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke ilme Gaib par

itna pakka yaqeen tha lekin Afsos Aaj ke Naam

nihaad muslaman bad aqeeda log aitraz karte hai

Allah aise Imaan ke lutero se hamari hifazat

farmaye 🔸

✔ Hadees No. 25

Hazrate Abdullah Ibne Umar Se riwayat hai ki ek

din Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص hamare paas tashreef laye.

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke daste mubarak mein do kitabe thi

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya kya tum in dono

kitabo ko jaante ho Humne Arz kiya Yaa

Page 89: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

89 | P a g e

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Aap ke bataye baghair nahi

jaante Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne dahine hath wali kitab ki taraf

ishara kar ke Farmaya Allah Ta'ala ki taraf se ek

kitaab hai jisme tamam jannat walo ke naam hai

inke baap dada aur khandano ke bhi Naam bhi

hai aur Aakhir mein in sab ki meezan hai inme se

kabhi bhi kami ya zyadati nahi hogi fir Aap ملسو هيلع هللا ىلص

Apne baaye hath wali kitab ke baare me farmaya

ki isme Jahannamiyon ke baap Dada aur

khaandano ke naam hai fir aakhir in sab ka jama

(Total) kar diya gaya hai Ab inme kabhi kami ya

zyadati nahi hogi

📓 Tirmizi Jild 2 Safa 36

📗 Mishkat Safa 21

➡ Gour karne ka maqaam hai jis zaate girami ko

Allah Ta'ala ne aisi kitabe ataa farma di ho ki

jisme saare jannat aur jahannami logo ke Naam

inki waladiyat aur qabeele ke zikr ke sath likha ho

unke Ilm ki kya shaan hogi Aur Aadam عليه السالم se

lekar qayamat tak paida hone wale musalamano

aur kaafiro mein aisa koun reh gaya Jisko Aap

?? nahi jaante ملسو هيلع هللا ىلص

Page 90: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

90 | P a g e

➡Tabhi to Aala Hazrat Farmate Hai

Aur Koi Gaib Kya Tum Se Nihaa Ho Bhala

Jab Naa Khuda Hi Chhupa Tum Pe Karoro

Durood

Page 91: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

91 | P a g e

Ishq E Rasool Wa Tazeeme

Nabi ملسو هيلع هللا ىلص

Page 92: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

92 | P a g e

Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ملسو هيلع هللا ىلص

✔ Hadees No. 1

Hazrate Anas رضي هللا عنه se marvi hai ki ek dehaati

Aadmi Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki khidamte Aqdas mein

Haazir hua aur pucha Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

Qayamat Kab Aayegi ? Farmaya tere liye kharabi

ho tune Qayamat ke liye kya tayyari ki hai ? Arz

kiya Huzoor Maine to tayyari nahi ki lekin main

Allah Aur Uske Rasool se muhabbat karta hu

farmaya to tum Uske sath rahoge jisse muhabbat

karte ho Fir Hum logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah

kya ye sab ke liye hai Farmaya haan . Raawi ملسو هيلع هللا ىلص

kehte hai is baat se hum behad khush hue

📕 Bukhari Jild 2 Kitabul Aadab Safa 911

📓 Muslim Jild 2 Safa 331

➡ Is Hadees se Achhi tarah se maloom ho gaya ki

Sahaba E Kiraam sab ke sab Aashiqane Rasool

the isi liye jab unhone ye suna ki jo jisse

mohabbat karega wo uske Sath Rahega to wo

nihayat khush hue. Ye bhi maloom hua ki wo log

muttaqi parhezgaar aur deendar hone ke

bawajood Apni nijaat ka zariya mahaz Aamale

Page 93: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

93 | P a g e

saaliha ko nahi balqi Mohabbate Khuda wa

Rasool ka khayal karte the

➡ Khulasa ye ki jo log deendaar bante hai aur

unhe Allah Wa Rasool se muhabbat wa Ishq nahi

hai wo galat raaste par hai han wo log bhi dhoke

me hai jo khaali Naam ki muhabbat karte hai aur

unhe Ahkaame Shariyah ki Qat'an fiqr nahi

Haraam wa Halaal mein koi farq nahi Namaz

Roza ke paband nahi gunaho me lage rehte hai

Hashr Mein Nidaa Hogi Ye Gulaam Kiska hai

Mujhko Dekh kar Keh De Yaa Shahe Zaman Mera

✔ Hadees No. 2

Hazrate Umar Farooque رضي هللا عنه ne dua

Farmayi ki Yaa Allah tu Mujhko Apni raah mein

Shaheed Hone Ka Sharaf ataa farma aur Mujhko

Apne Rasool ke Shahar mein mout ataa farmaa

📕 Bukhari Jild 2 Safa 253

Page 94: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

94 | P a g e

➡ Is Hadees se zaahir hota hai ki Hazrate

Sayyadna Umar Farooque رضي هللا عنه ka Ishqe

Rasool is hadd tak pahoch gaya tha ki shahare

Rasool ke alawa kisi aur jagah inko mout bhi

pasand na thi aur Khuda E Ta'ala ne inki dono

khwahishat puri farma di aur Hazrate Umar

Farooqur هرضي هللا عن ko Madeene Shareef mein hi

shahadat Naseeb hui aur Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke Rouze

Mein Dafn hone ka bhi Saharaf haasil hua

Yaa Ilahi Ataa Ho Shahadat Ki Mout Mujhko

Madeene Mein

Ameerul Momimeen Hazrate Farooqe Aazam Ke

Waste

✔ Hadees No. 3

Hazrate Anas عنهرضي هللا farmate hai ki Jab

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne sar ke Baal mubarak

mundwaye to Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke Baal Mubarak Haasil

karne walon mein Sabse pehle Hazrate Abu Talha

the

Page 95: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

95 | P a g e

📕 Bukhari Jild 2 Safa 29

✔ Hadees No. 4

Mash'hoor Taabayi Hazrate Ibne Aseer رضي هللا عنه

farmate hai ki maine Hazrate Ubaida رضي هللا عنه se

Arz kiya ki mere Paas Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ka Ek baal

mubarak hai jo Humko Hazrate Anas رضي هللا عنه

ya unke ghar walo ke zariye haasil hua To

Hazrate Ubaida رضي هللا عنه ne farmaya ki mere

Paas Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka ek Baal Mubarak hona mere

liye Duniya Aur Uske Saare Saaz Wa Saaman se

zyada mehboob hain

📕 Bukhari Jild 1 Safa 29

➡ Is Hadees Ko Padh kar Andaza lagaiye ki

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص se Sahaba E Kiraam ko kis darja

muhabbat thi ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke Ek Baal Mubarak ko

Qayinaat ki Saari Doulato se zyada pyara

samajhte

Page 96: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

96 | P a g e

Nabi Gensoo Tarashwate Sahaba Lete Haathon

Mein

Zameen Par Girne Kab dete Mere Sarkar Ke

Gensoo

✔ Hadees No. 5

Hazrate Abu Huzaifa رضي هللا عنه kehte hai ki

Dophar ke Waqt Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Hamare paas

tashreef laaye to Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke liye wuzoo ka paani

laaya gaya Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne Wuzoo farmaya to log

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke wuzoo ke paani ko lekar apne Jismo

par malne lage Fir Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne Zuhar Ki 2 Raka'at

Namaz Padhi aur Asr ki Bhi 2 Raka'at Namaz

Padhi aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke Saamne Neza tha Hazrate

Abu Moosa Ash'ari farmate hai ki Rasoolullah

ne ek pyaala maanga Jisme paani tha pehle ملسو هيلع هللا ىلص

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne Apna Munh aur Apne Haatho ko

usme Dhoya aur Isme Kulli farmayi aur fir Hum

Dono ( Hazrate Abu Moosa Ash'ari aur Hazrate

Bilal رضي هللا عنهم ) se Farmaya is paani ko piyo aur

isko Apne chehro aur seeno par daal do

📕 Bukhari Jild 1 Safa 31

Page 97: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

97 | P a g e

➡ Ye Ek Safar Ka Kissa tha Jisme Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Ne

Zuhar Aur Asr ki 2 Raka'at bataur Kasar Adaa

farmayi thi aur maqaame Ji'arrana mein Aap ملسو هيلع هللا ىلص

ka qayaam tha aur Bukhari Shareef mein Dusri

jagah hain ki jab Wuzoo Ka Dhowan aur kulli

kiya hua paani Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne ataa farmaya aur

ye dono Hazraat jab is paani ko bataure tabarruk

pi rahe the aur apne chehre aur seene par daal

rahe the to Ummul Momineen Sayaddena Umme

Salma رضي هللا عنها jo kheme ke andar se ye

mulahija farma rahi thi Unhone farmaya Thoda

Apni Maa Yani mere liye bhi bachaye rakho

➡ Hadees ke Alfaz ye hai ki Hazrate Umme Salma

ne parde ke pichhe se Aawaz lagayi ki رضي هللا عنها

thoda mere liye bhi bachalo to unhone thoda

paani unke liye bachaya

📕 Bukhari Jild 2 Safa 620

Jinke Talwo ka Dhowan Hai Aabe Hayaat

Hai Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi

Page 98: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

98 | P a g e

✔ Hadees No. 6

Ek aurat ne ek kinare wali chadar Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki

khidmate aqdas mein pesh ki aur arz kiya ki ye

maine Aap ke liye Apne hath se buni hai to

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne isko qubool farma liya aur Aap

iska tahband ملسو هيلع هللا ىلص ko isko zarurat bhi thi Aap ملسو هيلع هللا ىلص

baandh kar hum logo mein tashreef laaye to ek

sahab ko wo Nihayat achi maloom hui aur

unhone isko Huzoor.ملسو هيلع هللا ىلص se maang liya sahaba e

kiraam ne usse kaha ki tumne achaa nai kiya

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko aaj kal iski zarurat thi aur tumko

maloom hai Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص maangne walo ko mana

nai farmate to wo sahab kehne lage ki maine wo

chadar khuda ki qasam pehenne ke liye nahi li

hai balqi isliye maangi hai taaqi wo mera kafan

ho jaye Hazrate Suhail رضي هللا عنه raawi e hadees

farmate hai ki wo chadar waqayi un sahab ke

kafan mein kaam aayi

📕 Bukhari Jild 1 Safa 170

Tum Khaaqe Madeena Mere Laashe Pe Chidakna

Fir Malna Kafan Par Jo Mile Unka Paseena

Har Dum Ho Mera Wird Madeena Hi Madeena

Page 99: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

99 | P a g e

✔ Hadees No. 7

Hazrate Usman Ibne Abdullah رضي هللا عنه se

riwayat hai ki mere ghar walo ne mujhko Ummul

Momineen Hazrate Umme Salma رضي هللا عنها ki

khidmat mein ek bartan mein paani lekar bheja

aur jab kisi shaksh ko nazar lag jaati ya use koi

pareshani ya beemari hoti to Hazrate Umme

Salma رضي هللا عنها Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Moo E Mubarak

Nikaal kar laati aur wo unke paas ek chaandi ki

shishi mein rehta tha fir use paani daalkar hilaya

jaata aur wo shaksh us paani ko peeta Hazrate

Usman رضي هللا عنه kehte hai ke maine us bartan

mein jhanka to mujhe chand surkh rang ke baal

dikhayi diye

📕 Sahih Bukhari Jild 2 Safa 875

📓 Mishkat Babul Faal safa 391

➡ Hazrate Umme Salma رضي هللا عنها Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

ki zouja e mohtarma (Paak Biwi) Hain jo Huzoor

Baal ko dhowan Mareezo ko pilati thi aur ملسو هيلع هللا ىلص

Mareez sheefa paate the aur ye sahaba ka

zamana tha lekin kisi ne ye nahi kaha ki ye Shirq

o Bid'at aur Naa jayaz hai

Page 100: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

100 | P a g e

Ghumati Umme Salma Paani Mein Moo E

Mubarak ko

Mareezo Ko Sheefa Dete Mere Sarkar Ke Gensuu

✔ Hadees No. 8

Hazrate Abu Ayyub Ansari رضي هللا عنه ka bayan

hai Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص mere ghar mehman hue aur

main balai (upari) manzil mein rehta hu aur

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص niche wali manzil mein Ek Baar Raat

Mein Bedaar hua to ehsas hua ki Main upar

chalta hu aur Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Niche tashreef farma

hai is khayal se ek kone mein baith kar jaagte hue

Raat guzari subah ko Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص khidmat mein

Haazir ho kar Arz ki to Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad

farmaya ki nichli manzil mein hume zyada aaram

hai Arz kiya Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص lekin main is

chat par kaise reh sakta hu jiske niche Aap ho

iske baad Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Upar ki manzin mein

tashreef le gaye aur Abu Ayyub Nichli manzil

mein rehne lage Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke liye khana tayyar

karte Jab Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص khana tanawul farma lete

baad mein khud khate bache hue khane ke baare

Page 101: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

101 | P a g e

mein puchte ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne kidhar se khaya

hai fir khaas isi jagah se khate

📓 Sahih Muslim Jild 2 Safa 183

➡ Ye us waqt ka qissa hai Jab Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Hijrat

farma kar Madeena Shareef tahsreef laye aur

Shuru mein Aap ka muqaam Hazrate Abu Ayyub

Ansari ke makaan mein hua tha

Isse sabaq lena chahiye un logo(Bad Aqeeda ) ko

jo sirf Namaz Roza wa ibadat karte hai aur jinko

kitabe zindagi me koi Adab wa Tazeeme Nabi

Nahi hai ملسو هيلع هللا ىلص

Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inayat Naa Sahi

Najdiyo ! Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya

Page 102: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

102 | P a g e

Shafa'ate Ambiya Wa Awliya

Wa Olma

Page 103: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

103 | P a g e

Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma

✔Hadees No. 1

Hazrate Jaabir Ibne Abdullah Se marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki Har Nabi ko

ek maqbool dua mangne ka haq diya gaya jo

unhone apni ummat ke liye maang li aur Maine

Apni is makhsoos dua ko Baroze Qayamat Apni

Ummat ki shafa'at ke liye Bacha Rakha hai

📓 Muslim Jild 1 Safa 112

✔ Hadees No. 2

Sayyedna Usmane Gani رضي هللا عنه se marvi hai ki

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya baroze

Qayamat 3 qism ke log Shafa'at farmayenge

pehle Ambiya Fir Olma Fir Shohada

📙 Ibne Maaja Zikre Shafa'at Safa 330

📓 Mishkat Safa 494

Page 104: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

104 | P a g e

✔Hadees No. 3

Hazrate Imran Ibne Haseen رضي هللا عنه se marvi hai

ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki Meri

Shafa'at se kuch log Jahannam se Nikaale

Jayenge Aur Jannat mein dakhil honge aur

Jannat mein Inka Naam Jahannam Wale Hoga (

Yani Jahannam se Aane wale )

📕Bukhari Jild 2 Safa 971

➡ Yaani Log Jahannam Mein dakhil Ho jayenge

Iske Baad bhi Shafa'at Jaari Rahegi Yahan Tak ke

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki Shafa'at Se jo log Jahannam mein jaa

chuke honge wo waha se Nikal kar Jannat mein

Laaye Jayenge

Hisaab ka Din kathin to hoga Magar Hume Unka

Aasara Hain

Wo Aa Hi Jayenge Bakshwane Shafa'at Unko

Ataa Hui Hain

Page 105: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

105 | P a g e

✔Hadees No. 4

Qayamat ke din Khuda E Ta'ala farmayega aur

Ambiya wa Momineen Shafa'at kar chuke sirf Ar-

Rahmur Rahimeen baaqi raha fir Apne Daste

Qudrat ki ek Mutthi bhar jahannam se logo ko

nikalega

📓 Muslim Jild 1 Safa 103

📙 Mishkat Safa Babul Houze Wash-shafa'at safa

490

✔ Hadees No. 5

Hazrate Abdullah Ibne Umar Bin Aas Se marvi hai

ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne Apne Mubarak Hatho ko

uthaya aur Arz Kiya Aye Allah Meri Ummat Meri

Ummat aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص rone lage to Allah Ta'ala ne

Hazrate Jibraeel عليه السالم ko huqm diya mehboob

ke paas jao to wo Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki khidmat mein

Haazir hue aur pucha Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne rone ka

sabab bataya aur Parwar Digaar sab kuch Jaanta

hai Allah Ta'ala ne Hazrate Jibraeel عليه السالم se

farmaya jao aur Mehboob se keh do Aap ki

Page 106: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

106 | P a g e

Ummat ke Mamle mein Aap ko Raazi aur Khush

Kar denge aur Aap ko gamgeen Nahi Hone

Denge

📓 Muslim Jild 1 Baab Dua Un Nabi ملسو هيلع هللا ىلص Li

Ummatihi Safa 113

Fiqre Ummat Mein Raato Ko Rote Rahe

Aasiyoñ Ke Gunaho Ko Dhote Rahe

Tum Par Qurbaan Jaañ Aye Mere Mehjabeen

Tum Par Har Dum Karodo Duroodo Salaam

✔Hadees No. 6

Hazrate Abdullah Bin Abijada'a رضي هلل عنه se marvi

hai ki Maine Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ko farmate hue

suna ki meri Ummat ke ek shaksh ki Shafa'at se

itne log Jannat mein Daakhil honge Jinki Taadad

Qabeela Bani Tameem ke logo se bhi zyada hogi

📓Tirmizi Jild 2 safa 67

📙 Mishkat Safa 494

Page 107: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

107 | P a g e

✔ Hadees No. 7

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya meri ummat ke

kuch log Kayi giroh ki Shafa'at karenge aur kuch

kisi khandan ki aur kuch kisi ek shaks ki Shafa'at

karenge yahan tak ki log inki Shafa'at se Jannat

mein Dakhil Ho Jayenge

📙 Tirmizi Jild 2 Safa 67

➡ Saabit hua ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki ummat ke Aap ke

Aise gulam bhi honge Jinki Shafa'at se Allah

Ta'ala Bahot Saare logo ko Jannat Ataa

Farmayega Aur Inme olma aur Shahidaane Islam

ka khaas Muqaam hoga

Mere Taaje Shariat Jaa-Nasheene Mufti-E-Aazam

Inhi Ke Sadqe Me Aaqa Hume Jannat Ataa Kar

De

Page 108: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

108 | P a g e

Allah Ta'ala Ki Baargah me

Uske Mehboob Bando ko

waseela banana

Page 109: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

109 | P a g e

Allah Ta'ala Ki Baargah me Uske Mehboob Bando

ko waseela banana

✔ Hadees No. 1

Hazrate Abu Saeed رضي هللا عنه se marvi hai ki

Huzoor Nabi E Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya ki

ek aisa zamana aayega jab log fouj dar fouj ho

kar jihaad karenge to inse puccha jayega ki

tumhare darmiyaan koi aisa shakhs hai Jisne

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki sohbat ka sharf haasil kiya ho

jawab mein kaha jayega haan to uski barkat aur

waseele se jung me fateh hogi fir ek zamana

aayega aur log jihaad karenge to inse maloom

kiya jayega kya tum mein koi aisa hai jisne

Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke sahaba ko dekha ho jawaab hoga

haan to iske waseele se jung mein kamiyabi

milegi fir ek Zamana Aayega aur log jihaad

karenge to unse puccha jayega hai jisne Huzoor

ke sahaba ki sohbat haasil karne walo ki ملسو هيلع هللا ىلص

sohbat ka sharf haasil kiya ho jawaab hoga Haan

to inke zariye kamiyabi haasil hogi

📕 Bukhari Jild 1 Safa 406

Page 110: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

110 | P a g e

➡ Ye Hadees Saaf taur par bata rahi hai ki Huzoor

Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ka muqaam to Allah hi jaane

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke gulamo ke gulamo ke gulamo ki

shaan ye hai ki inke waseele se jungo mein islami

faujo ko fatah haasil hoti hai

➡ Huzoor Mufti E Aazam Hind Farmate hain..

Wasl E Moula Chahte Ho To Waseela Dhoond Lo

Be Waseela Najdiyon Hargiz Khuda Milta Nahin

✔Hadees No. 2

Hazrate Usman Bin Hunaif رضي هللا عنه se marvi hai

ki ek Sahab jo Naabina the Huzoor Nabi E

Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ki khidmat me Haazir hue aur Arz

kiya Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص mere liye Allah Ta'ala se

dua kijiye ki meri binayi wapas Aa jaye to Huzoor

ne irshad farmaya ki tum chaho to main dua ملسو هيلع هللا ىلص

karu agar chaho to sabr karo aur ye sabr karna

zyada accha hai wo sahab farmane lage Huzoor

Dua farma dijiye to Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne unko

Page 111: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

111 | P a g e

huqm diya wo achhi tarah Wuzoo kare aur fir ye

dua padhe

➡ Aye Allah Main Tujhse Dua Mangta hu aur tere

Taraf teri Nabi Muhammed ملسو هيلع هللا ىلص ko waseela

banakar mutawajjah hota hu jo Rehmat wale

Nabi hai Aur Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص main Aap ke

waseele se Apne Rab se Dua karta hu Taaqi meri

ye haajat puri ho aur Aye Allah tu Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki

Shafa'at mere haq mein qubool farma

📓 Tirmizi Jild 2 Safa 196

📗 Mishkat Safa 219

➡ Is Hadees mein naabina Sahabi ka Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

ki khidmat mein Apni haajat barayi ke liye jana

waseela hai aur Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne inko jo dua

taalim farmayi isme bhi Apne Waseele se dua

mangne ka huqm diya Is hadees mein

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ko waseela banane Aap ki taraf

mutawajjah hone balqi Aap ko Haazir ke seege se

pukarne ka bhi zikr hai Yani Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

kehna bhi jayaz hai

Page 112: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

112 | P a g e

Ba-Khuda Khuda ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi

Mafar Maqar

Jo Wahan Se Ho Yahin Aake Ho Jo Yahan Nahin

To Wahan Nahin

✔ Hadees No. 3

Hazrate Anas Bin Maalik رضي هللا عنه se marvi hai ki

jab Madeena Munawwara me sukha padta to

Hazrate Umar Farooq هللا عنه رضي Hazrate Abbas

Ibne Abdul Muttalib ke waseele se baarish ki dua

maangte aur kehte the Yaa Allah Hum tere Nabi

ke Waseele se Barish maangte the hum par

baarish hoti thi ab hum tere Rasool ke chacha ke

waseele se baarish maangte hai to Tu Humko

Sairab Kar de Hazrate Anas رضي هللا عنه kehte hai

Hazrate Umar رضي هللا عنه ki is dua se Khoob

baarish hoti

📕 Bukhari Jild 1 Safa 137

📓 Mishkat Safa 132

Page 113: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

113 | P a g e

Khud Khuda Be Waasta De Ye Hamara Munh

Kahan

Waasta Sarkaar Hai Be Waasta Milta Nahi

✔ Hadees No. 4

Hazrate Abu Jauza رضي هللا عنه ne farmaya ki ek

martaba Madeene munawwara mein sakht

sukha pad gaya logo ne Hazrate Aayesha

Siddiqua رضي هللا عنها se shikayat ki Aap ne farmaya

ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki Qabre Anwar ko dekho aur

Iske thik upar Aasman ki jaanib chhat mein

surakh kar do yahan tak ke Qabre Anwar aur

Aasman ke bich koi pardah na rahe... logo ne aisa

hi kiya to aisi zor ki barish hui ki khoob sabza

ugaa hariyali chha gayi aur oont mote ho gaye

yahan tak ke inki charbi fati jaati thi aur is saal ko

khush-hali ka saal kaha jane laga

📓 Mishkat Babul Karamat Safa 545

➡ Is Hadees Se zaahir hai ki baade wisaal Huzoor

Qabre Anwar ko in logo ملسو هيلع هللا ىلص ko aur Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص

ne baarish maangne ke liye waseela banaya jo

sab sahaba aur tabaeen the aur khud Ummul

Page 114: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

114 | P a g e

Momineen Hazrate Ayesha Siddiqua رضي هللا عنها

ne ye tarkib batayi to Zaahir ho gaya ki sahaba

kiraam baade wisaal bhi waseele ke Qaeel the.

Jo Khuda Deta Hai Milta Hai Isi Sarkar Se

Kuch Kisi Ko Haq Se Is Dar Ke Siwa Milta Nahin

✔ Hadees No. 5

Hazrate Abdullah Ibne Deenar رضي هللا عنه se marvi

hai ki Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي هللا عنه jab

safar ko nikalte yaa jab safar se wapas aate to

Pehle Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ki qabre Anwar par haazri

dete Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص par durood padhte aur waha

dua mangte fir laut jaate

📓 Mu'atta Imaam Malik Baab Qabarin-Nabi'e ملسو هيلع هللا ىلص

Safa 396

Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي هللا عنه ka safar

se aate aur jaate waqt Qabre Anwar par khade

ho kar Durood Shareef Padhna aur dua Mangna

yaqeenan Baade wisaal Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ki Qabre Anwar

Page 115: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

115 | P a g e

ko aur Baad Wisaal Aap ملسو هيلع هللا ىلص ko Waseela banana

hai warna Dua har jagah Maangi jaa sakti hai

Qabre Anwar par Dua Mangne ka Aakhir aur kya

matlab Hai ??

Ustaade Zaman Farmate Hai

Hashr Mein Ek Ek Ka Munh Takte Firte Hai Adu

Aafaton Mein Phans Gaye Unka Sahara Chhor

Kar

Huzoor Mufti E Aazam Hind Farmate hai

Bas Yahi Sarkaar Hai Jisse Hamesha Paayenge

Dene Wale Dete Hain Kuchh Din Sadaa Milta

Nahin

✔ Hadees No. 6

Hazrate Sa'ad Ibne Abi Waqaas رضي هللا عنه se

riwayat hai ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya ki

tumhari Madad ki jaati hai aur tumhe Rozi Milti

hai ye sab tum mein ke kamzor Logo ka waseela

hai

Page 116: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

116 | P a g e

📕 Sahih Bukhari Kitabul Jihaad Saca 405

➡ Yahan Bhi Baat Kaabile Gour hai ki "Jungo

mein kamzor aur neko ke waseele se madad

chahna " Goyaa Hazrate Imaam Bukhari ke

aqeede mein bhi Mehboobane Khuda ko

bargahe Khuda mein Waseela Banana yaqeenan

pasandeeda hai

Jab Unke Gadaa Bhar Dete Hain Shaaane

Zamana Ki Jholi

Mohtaj Ka Jab Ye Aalam Hain To Mukhtar Ka

Aalam Kya Hoga

Chahe To Isharo Se Apne Kaaya Hi Palat De

Duniya Ki

Ye Shaan Hain Unke Gulamo Ki Sardar Ka Aalam

Kya Hoga

Page 117: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

117 | P a g e

Bad-Aqeedah Aur Gumrah

Firqo Ki Pehchaan

Page 118: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

118 | P a g e

Bad-Aqeedah Aur Gumrah Firqo Ki Pehchaan

✔ Hadees No.1

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad farmaya Meri Ummat

73 giroh mein bath jayegi Jinme 72 Jahannami

Honge aur sirf Ek Jannati Arz Kiya Ki Yaa

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Jannati Firqe Ki Kya Pehchan hai

? Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya jo meri aur mere sahaba ki

Seerat Ikhtiyaar karega wo Jannati Hai

📓 Mishkat Safa 30

➡ Isiliye To Aala Hazrat Kya Khoob Farmate Hai

Ahle Sunnat Ka Hai Beda Paar As'haabe Huzoor

Najm Hain Aur Naav Hain Itrat Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص

Ki

➡ Najm = Taare

➡ Itrat = Aal Aulad Yaani Ahle Bait

Page 119: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

119 | P a g e

✔ Hadees No. 2

Hazrat Ali رضي هللا عنه se marvi hai ki Rasoolullah

ne irshad farmaya Akhir Zamane mein kuch ملسو هيلع هللا ىلص

Aise log paidah Honge jo Ba-aitebar umr kam

honge Aql se paidal honge Inki Baate Sabse

behtar hogi Imaan Inke halaq se niche nahi

utrega Deen Se Aise Nikle hue Honge jaise teer

Kamaan se nikal jaata hai to Tum unhe jahan

paoge Qatl karo inke Qatl Karne mein har qatl

karne wale ko Qayamat ke Roz Sawaab Milega

📕 Bukhari Jild 2 Safa 1024

➡ Aage ye bhi hai Tum log apni Namazo Rozo ko

unke muqabile nihayat Kamtar khayal karoge

✔ Aaj Kal waqayi baatil firqo mein ye nishaniya

paayi jaati hai Ba-zaahir bade bhole maloom hote

hai aam taur par log kehte hai unhone bahot

achhi baate batayi , bahot pabandi se Ibadat

karte hai aur ye Saari nishaniya wahabiya

devbandiya aur deegar bad-aqeedah Jamaat

walo mein poore tareeqe se paayi jati hai

Page 120: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

120 | P a g e

Gulame Raza Inse Dhokha Naa Khana

Aur Raza Ka Ye Paigaam Naa Bhool Jana

Raza Nafs Dushman Hain Dum Mein Naa Aana

Kaha Tumne Dekhe Hain Chandrane Wale

✔ Hadees No.3

Bad-Aqeedah Aur Gumrah logon ki nishaniya

batate Hue Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Ne ye bhi farmaya Ke

Aankhen dhasi Hui Gaalon Ki Haddi uthi hui

Peshani ubhari hui Bhaari Dadhi Sar Mundaye

hue aur Tehband Upar Ko chadhaye hue Hadees

ke Akhir mein Hai Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne irshad

farmaya is Nasl Ke Log Quraane Kareem ki

tilawat to Ro-Ro karenge magar inke galo se nahi

utarega Deen se aise nikle hue honge jaise

Kamaan se teer Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص irshad farmaya Agar

Main Inka Zamaana Paau to Inhe Qoum Samood

Ki tarah Halaaq wa qatl karu Yani unhe Bilkul

mita du

📕 Bukhari Jild 2 Safa 633

Page 121: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

121 | P a g e

➡ Unhe Tahbandi paajame aur munde Saro se

bhi Bad-Mazhabo ki pehchan ki ja sakti hai

halanqi Sar Mundana unche pahanna koi gunah

ya Khilafe Shara'a nahi hai balqi Sunnat hai lekin

yahan matlab ye hai ki ye log in baato par zyada

Zor Denge aur bilkul Farz khayal karenge Yahan

Tak ki Shaikh Mohammed Ibne Abdul Wahab

Najdi ke baare mein Mash'hoor hai ki agar koi sar

na mundaye to wo uska galaa katwa deta tha

Najadi Ke Ganje Sar Par Ek Zor-Daar Thappad

Jaldi Laga Laga Har Ek Yaar Aaye

✔ Hadees No.4

Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي هللا عنه se

riwayat hai ki wo Kharijiyon ko makhlooq mein

sabse bura jaante the ki in logon ne Quraane

Kareem ki Jo aayate Kaafiron ke Baare Mein hai

unhe Musalmano par chaspa kar diya

📕 Bukhari Jild 2 Safa 1024

Page 122: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

122 | P a g e

➡ Kharaji wo log hai Jinhone Hazrate Ali رضي هللا

par shirq ka fatawa lagaya tha ( Maaz'Allah) عنه

Aur Jo Qurane Kareem ki Jo Aayate Kaafiro ke

haq mein Naazil hui Hai unko Momineeno ke

upar thopte hai

✔ Hadees No.5

Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي هللا عنه se marvi

hai ki Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص ne dua ki aur arz kiya Aye

Allah Hamare Mulqe Shaam mein barkat de

Hamare Yaman mein barkat logo ne Kaha Yaa

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص aur hamare Najd Mein ? Huzoor

ne arz kiya Aye Allah Hamare Mulqe Shaam ملسو هيلع هللا ىلص

mein barkat de Hamare Yaman mein barkat logo

ne Kaha Yaa Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص aur hamare Najd

Mein ? Raawi kehte hai ki mera khayal hai ki

Teesri baar Mein Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya ki Najd

Mein Zalzale Aur Fitne Honge aur Shaitan Ka

Sing Wahi se niklega

📕 Bukhari Jild 2 Safa 1051

Page 123: 1 | P a g e BOOK;S URDU ARBI... · 5. allah t’ala ki bargah me uske mehboob bandon ka waseela banana par 6 hadees 6. shafa’ate ambiya wa awliya wa olma par 6 hadees 7. ishq e

123 | P a g e

➡ Ye Najd Jiske Baare Mein Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne

bajaye Khairo barkat ki dua ke is ilaaqe ko fitne ki

Zameen Farmaya ki waha Zalzale aur fitne honge

aur shaitan ka sing wahi niklega Isi Zameen se

1115 Hijri Mein Shaikh Mohammed Abdul

Wahab Najadi paidah hua jisne wahabiyyat aur

Allah ke Rasool ملسو هيلع هللا ىلص aur Buzurgane deen ki

shaan mein gustakhiyon ki buniyad Daali Aur ye

Najadi Bad-Aqeedah Gumrah log Aaj bhi Isi

Mishan Par Hain

Dushmane Ahmed Pe Shiddat Kijiye Mulhidown

Ki Kya Murawwat Kijiye

Ghaiz Me Jal Jaaye Be Deeno ke Dil Yaa

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص Ki Kasrat Kijiye

Published by

JAMAT RAZA-E -MUSTAFA ملسو هيلع هللا ىلص

BRANCH : NANDED